Aabroo By Sneha Khanwalkar

Hum zahar se bhare, bicchhuon mein paley
Arey tu humein kaatne ki saza payega

Arey aabroo ki kasam cheer denge tujhe
Dum kate saanp sa bil bila jayega
Aabroo ke jane draupadi ki kasam
Kauravon ki sabha mein jo aa jayega
Arey dushaasan hain hum
Kheench lenge tujhey
Aabroo jo bachi hai luta jayega

Aabroo ki kahi aaj sun le abhi
Choli lehanga pehan ke kahan jaayega
Jo har ik chhed mein goliyan jo padi
Toh har ik chhed bansi baaja jayega
Chhedo... Chhedo chhedo... Chhedo
Oh chhedon key khuda meri sun to zara
Beech baazaar mein tu toh aa jayega
Le aa gaya beech bazaar mein, ab bol
Toh ruk

Sand ban ke nache-ga sarey aam tuu...
Bhaand ban ke muhaley mein chaa jayega
Hum to duryodhan ke poot
Saath mein raavan ke chele
Hum to bhari-putna
Surpanakha ki godon mein khele
Hum to aise hain chandal cheer ke
Kutta khate hain hum to aise teer-andaj
Aadmi ain chabate hain, hum to shakuni hain
Hum kansraj hain kulta shulta neech
Hum toh narbhakshi hain gaay bhains ka
Chara khaan ley kheench arey hum maar tamancha
Bail pe nikley, bail bech aaye
Hum to kirkit ka balla, chodo hum khel bech aaye
Haaji maula, haaji maula, haaji maula
Haaji maula, haaji maula, haaji maula

Song Details
Movie
Gangs Of Wasseypur 2
Artist
Sneha Khanwalkar
Music Directory
Sneha Khanwalkar
Duration
04:34
Music Label
T-Series Music
Singers
Piyush Mishra, Bhupesh Singh
Lyricist
Varun Grover

more lyrics from Gangs Of Wasseypur 2

Aabroo
Bahut Khoob
Dil Chhi Chha Ledar
Electric Piya
Kaala Rey
Moora
Taar Bijli