Jeena Hai Kis Liye By Rajesh Roshan

Jeenaa hai kis liye jeevan hai is liye
Zindaadili se kyun na ham jiyein
Jeenaa hai kis liye jeevan hai is liye
Zindaadili se kyun na ham jiyein
Rishte hain kis liye samajhte hain is liye
Jeenaa bhi varnaa aur hai kis liye

Ye khizaan aur vo bahaar do ghadi ke hain khumaar
Badalnaa hi to qudrat mein qaayam kaa rahaa kirdaar
Ye khizaan aur vo bahaar do ghadi ke hain khumaar
Badalnaa hi to qudrat mein qaayam kaa rahaa kirdaar
Badleinge kis liye sanvreinge is liye
Badal ke hans diye to jee liye
Jeenaa hai kis liye jeevan hai is liye
Zindaadili se kyun na ham jiyein

Aansoo ke jo dhaare hain ye gham ke sharaare hain
Jo unko ponchh de bas vo hi to tumhaare hain
Aansoo ke jo dhaare hain ye gham ke sharaare hain
Jo unko ponchh de bas vo hi to tumhaare hain
Aansoo hai kis liye sar dard is liye
Muskaan se aansoo bhi dho liye
Jeenaa hai kis liye jeevan hai is liye
Zindaadili se kyun na ham jiyein
Rishte hain kis liye samajhte hain is liye
Jeenaa bhi varnaa aur hai kis liye..

Song Details
Movie
Aetbaar
Artist
Rajesh Roshan
Music Directory
Rajesh Roshan
Music Label
Sony Music
Singers
Amitabh Bachchan
Lyricist
Chandrashekhar Rajit

more lyrics from Aetbaar

Aetbaar
Chhodo Chhodo
Jeena Hai Kis Liye
Na Nazron Ka
Saansein Ghulne Lageen
Tum Mujhe Bas Yun Hi