Insaaf Ki Awaaz By Bappi Lahiri

Jab saitano ne milkar maran maridang bajaya
Iman ko dafnaya or juth ko taj pahnaya
Kanun kaha soya tha
Insaf kaha khoya tha
Kanun kaha soya tha
Insaf kaha khoya tha
Jab sachai ke sine me khanjar utara jata hai
Jalim logo ke hatho jab isha ko mara jata hai

Kanun kaha sota hai insaf kaha hota hai
Mang rahi hai jawab insaf ki awaz

Kuchh log jahar se jahrile
Jo yari ka dum bharte hai
Dusman se hath milate hai
Yaro se dhokha karte hai
Jo kismat likhte aaye hai
Un hatho ko kya or mila
Itni mehnat ke badle me
Unhe maut ka tohfa diya gaya
Mang rahi hai jawab insaf ki awaz
Kanun kaha sota hai insaf kaha hota hai

Ye aankhe nahi koi sehra hai
Ek bund nahi hai pani ki
Kismat ne mang me aag bhari
Or abhi umar hai jawani ki
Ye atal himalay ke jaisi
Ye aansu kaha bahati hai
Chahe taj mile ya kafan mile
Ye apna farz nibhati hai
Jab aankhe ro nahi pati
Dil andar andar rota hai
Kanun kaha sota hai insaf kaha hota hai
Mang rahi hai jawab insaf ki awaz
Insaf ki awaz,insaf ki awaz...

Song Details
Movie
Insaaf Ki Awaaz
Artist
Bappi Lahiri
Music Directory
Bappi Lahiri
Music Label
T-Series
Singers
Kishore Kumar
Lyricist
Indeevar (Shyamalal Babu Rai)

more lyrics from Insaaf Ki Awaaz

Insaaf Ki Awaaz
Irada Karo To Poora Karo
Pyar Pyar
Radha Pyar De