Allah Jab Se Huyi By Bappi Lahiri

Allah jab se huyi main jawan
Allah jab se huyi main jawan
Zamana baiman ho gaya
Haye zamana baiman ho gaya
Aaya jab se ye solhva sal
Aaya jab se ye solhva sal
Dupatta baiman ho gaya haye
Dupatta baiman ho gaya

Delhi se aate hai ye dil lutane ko
Patiyala se aaye pine pilane ko
Kalkatte se aaye patta dikhane ko
Chhaya hai daulat ka dil pe nasha
Jhansi se aate hai hath ladane ko
Banglaur se aaye bangla dilane ko
Puna se aate hai chuna lagane ko
Chehre pe chehara laga ke naya
Mera gora mera gora badan ye jawan
Banaras ka pan ho gaya haye
Banaras ka pan ho gaya
Allah jab se huyi main jawan
Zamana baiman ho gaya
Haye zamana baiman ho gaya

Tirchhi nazar aisi tauba duhayi
Patli kamar ne to luti khudayi
Rab ne fursat mein surat banayi teri
Dekhe kahi bhi na aisi jawani
Lagti hai koi pari aasmani
Aankh tujhse ladi mot aayi meri
Yuhi lagaye ja thumke pe thumka
Meri jaan jaye to kya hai bura
Yuhi lagaye ja thumke pe thumka
Meri jaan jaye to kya hai bura
Aisi lachki ho aisi lachki
Kamar ki kaman marwadi pathan ho gaya
Haye marwadi pathan ho gaya
Allah jab se huyi main jawan
Zamana baiman ho gaya
Haye zamana baiman ho gaya

Aaye yaha jo bhi hai roop ke lobhi
Shamil karo unme na gori mujhko bhi
Main sacha aashiq hu wo sare hai dongi
Dekho mujhe aazma ke zara
O aashiq mera aisa koi nahi hoye
Dulhan banake jo kothe se le jaye
Ye than ke hi to hum hai yaha aaye
Mar ke hi chhodenge ye dar tera
Dekhi teri ho dekhi teri ada ki
Wo shan ke banda kurban ho gaya
Haye ke banda kurban ho gaya
Allah jab se huyi main jawan
Zamana baiman ho gaya
Haye zamana baiman ho gaya...

Song Details
Movie
Param Dharam
Artist
Bappi Lahiri
Music Directory
Bappi Lahiri
Music Label
Venus
Singers
Asha Bhosle, Mohammed Aziz
Lyricist
Anjaan

more lyrics from Param Dharam

Allah Jab Se Huyi
Jab Se Tujhe Piya
Mohe Aayi Na Jag Se Laaj