Mera kuch saamaan tumhare paas pada hai
Mera kuch saamaan tumhare paas pada hai
O ! Saavan ke kuch bheege bheege din rakhe hain
Aur mere ik khat main lipti raat padi hai
Vo raat bujha do, mera vo saamaan lauta do
Vo raat bujha do, mera vo saamaan lauta do
Mera kuch saamaan tumhaare paas pada hai
O ! Saavan ke kuch bheege bheege din rakhe hain
Aur mere ik khat main lipti raat padi hai
Vo raat bujha do, mera vo saamaan lauta do
Patjhad hai kcuh… Hai na ?
Humm !
O ! Patjhas main kuch patton ke girne kee aahat
Kaanon main ek baar pahan ke laut aai thee
Patajhad kee vo saakh abhi tak kaanp rahi hai
Vo saakh gira do mera vo saamaan lauta do
Vo saakh gira do mera vo saamaan lauta do
Ek akeli chhataree main jab aadhe aadhe bheeg rahe the
Ek akeli chhataree main jab aadhe aadhe bheeg rahe the
Aadhe sookhe aadhe geele sukha to main le aaye thee
Geela man shayad bistar ke paas pada ho
Vo bhijwa do mera vo saamaan lauta do
Ek so sola chaand ki ratain ek tumhare kaandhe ka til
Ek so sola chaand ki ratain ek tumhare kaandhe ka til
Geeli mahendi ki khushboo jhoot mooth ke shikwe kuch
Jhooth mooth ke wade sab yaad karaa do
Sab bhijwa do mera vo saamaan lauta do
Sab bhijwa do mera vo saamaan lauta do
Ek ijaazat de do bas jab isako dafanaaungee
Main bhi vaheen so jaungee
Main bhi vaheen so jaungee...
Song Details
- Movie
- Ijaazat
- Artist
- Rahul Dev Burman
- Music Directory
- Rahul Dev Burman
- Music Label
- Sa Re Ga Ma
- Singers
- Asha Bhosle
- Lyricist
- Gulzar (Sampooran Singh Kalra)