Machalti-jhoomti thandi hawaayen kahti hain
Tadapti maujon ki chanchal adaayen kahti hain
Sanwaaro zulf ko kaali ghataayen kahti hain
Ye bhigi-bhigi suhaani fazaayen kahti hain
Tumhin se aaj tumhaari nigaahen kahti hain
Tumhin se aaj tumhaari nigaahen kahti hain
O o o o
Sheesha-e-dil itana na uchhaalo
Sheesha-e-dil itana na uchhaalo
Ye kahin toot jaaega, ye kahin phoot jaaega
Sheeshaa-e-dil itana na uchhaalo
Nazaare ho gaye qurbaan in nazaaron par
Machalke aa gayin laharen bhi ab ishaaron par
Adaa se tairte phirte hain ham to dhaaron par
Karenge pyaar ka jaadu javaan bahaaron par
Ye kahane aai hain sou machhaliyaan kinaaron par
Ye kahane aai hain sou machhliyaan kinaaron par
O o o o
Sheesha-e-dil itana na uchhaalo
Sheesha-e-dil itana na uchhaalo
Ye kahin toot jaayega, ye kahin phoot jaayega
Sheeshaa-e-dil itana na uchhaalo
La la la la, la la la laa, la la la la, la la la laa
La la laa, la la la laa, la la laa, la la la laa
Sambhaalo hosh ke dariya ka gahra paani hai
Na doob jaao kahin bekhabar jawaani hai
Jawaan bahaar kinaaron pe aani-jaani hai
Zara khayaal rahe dil ajab nishaani hai
Abhi to pyaar ki duniya tumhen basaani hai
Abhi to pyaar ki duniya tumhen basaani hai
O o o o
Sheesha-e-dil itna na uchhaalo
Sheesha-e-dil itna na uchhaalo
Ye kahin toot jaayega, ye kahin phoot jaayega
Sheeshaa-e-dil itana na uchhaalo...
Song Details
- Movie
- Dil Apna Aur Preet Parai
- Artist
- Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
- Music Directory
- Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
- Music Label
- Saregama
- Singers
- Lata Mangeshkar
- Lyricist
- Hasrat Jaipuri