Bhul sakta hai bhala kaun yeh pyaree aankhe
Rang me dubee huyee nind se bharee aankhe
Bhul sakta hai bhala kaun
Meri har sans ne har soch ne chaha hai tumhe
Jab se dekha hai tumhe tab se saraha hai tumhe
Bas gayi hai meri aankho me tumhari aankhe
Rang me dubi huyi nind se bhari aankhe
Bhul sakta hai bhala kaun
Tum jo najro ko uthao toh sitare jhuk jaye
Tum jo palko ko jhukao toh jamane ruk jaye
Kyun na ban jaye in aankho ki pujari aankhe
Rang me dubi huyi nind se bhari aankhe
Bhul sakta hai bhala kaun
Jagti rato ko sapno ka khajana mil jaye
Tum jo mil jao toh jine ka bahana mil jaye
Apni kismat pe kare naz hamari aankhe
Bhul sakta hai bhala kaun yeh pyari aankhe
Rang me dubi huyi nind se bhari aankhe
Bhul sakta hai bhala kaun...
I Love New Year | |
Khoon Ki Pyasi | |
Bajrangi Bhaijaan | |
Baahubali: The Beginning | |
Kyun! Ho Gaya Na | |
Dahek: A Burning Passion |