O patthar ke insan, o nitivan insan
O patthar ke insan, o nitivan insan
Mamta kaa rang maidan, jivan shataranj saman
Tune apne gharvale mohre bana dale
Tune apne gharvale mohre bana dale
Teraa dharm toh jit gaya, tere pas bacha abb kya
Band karo yeh vad vivad, kaha sikha hai yeh tark vitark
Mai uss kul kaa jisme huwa hai sada dharm kaa palan
Aadarsho ke sath bandha hai meraa sara jivan
Mere dharm kee sakee meree jivan sathee
Yeh tumhe batalayegee
Langhee maine laxman rekha badla nasib meraa
Vachan patee kaa patnee ko
Isase bach naa sakee koyee sita
Teraa yeh vyavahar kya nyay peh nahee prahar
Nahee nahee, mamta kaa rang maidan
Ivan shataranj saman
Tune apne gharvale mohre bana dale
Dharmapith mere ghar se chalee mere purakho kee yeh de
Satya dharm so jaye bhale soye naa mere nain
Mere naino ke saman yeh meree santan, karegee meraa bakhan
Janmee mai phul banake rah gayee mai shul banake
Pita mere parameshvar jaise niti badalegee kaise
Man roye nain muskaye kya mar gaya teraa nyay
Nahee nahee mamta kaa rang maidan
Jivan shataranj saman
Tune apne gharvale mohre bana dale
Teraa dharm toh jit gaya, tere pas bacha abb kya...
Song Details
- Movie
- Dharm Adhikari
- Artist
- Bappi Lahiri
- Music Directory
- Bappi Lahiri
- Music Label
- T-Series
- Singers
- Shabbir Kumar
- Lyricist
- Indeevar (Shyamalal Babu Rai)