Deke lahu apnee mamta ka tune mujhko pala
Har pal mere dukh pe apne sukh ka aanchal dala
Kabhee mandir kabhee puja, kabhee puja kaa vardan lage
Meri maa mujhko bhagvan lage
Kabhee tulsee kee ramayan, kabhee gita kaa gyan lage
Kabhee tulsee kee ramayan, kabhee gita kaa gyan lage
Meri maa mujhko bhagvan lage
Meri maa mujhko bhagvan lage
Maa teri aankho se barse amrit ki dhara
Teraa pyar toh lagta hai saree duniya se nyara
Maa teri aankho se barse amrit ki dhara
Teraa pyar toh lagta hai saree duniya se nyara
Kabhee sukh kee behtee ganga, kabhee karuna kee pahchan lage
Kabhee sukh kee behtee ganga, kabhee karuna kee pahchan lage
Meri maa mujhko bhagvan lage
Meri maa mujhko bhagvan lage
Mere toh hontho pe hai maa bas nam teraa
Inn charno kee mittee me hee bite jivan meraa
Mere toh hontho pe hai maa bas nam teraa
Inn charno kee mittee me hee bite jivan meraa
Mere maa kee pavan murat mujhe jag me sabse mahan lage
Mere maa kee pavan murat mujhe jag me sabse mahan lage
Meri maa mujhko bhagvan lage
Meri maa mujhko bhagvan lage
Bachcho ke sukh me soye bachcho key dukh me jage
Bachcho ke sukh me soye bachcho key dukh me jage
Kisee chij kaa mol naa koyee maa ki mamta ke aage
Kabhee ped ki thandee chhaya kabhee sneh bhari muskan lage
Kabhee ped ki thandee chhaya kabhee sneh bhari muskan lage
Meri maa mujhko bhagvan lage
Meri maa mujhko bhagvan lage
Kabhee mandir kabhee puja, kabhee puja kaa vardan lage
Meri maa mujhko bhagvan lage
Kabhee tulsee kee ramayan, kabhee gita kaa gyan lage
Meri maa mujhko bhagvan lage
Meri maa mujhko bhagvan lage...
Song Details
- Movie
- Dancer
- Artist
- Various Artists
- Music Directory
- Anand Shrivastav, Milind Shrivastav
- Music Label
- Tips Music
- Singers
- S. P. Balasubrahmanyam, Sadhana Sargam, Udit Narayan
- Lyricist
- Sameer