Aaya Holi Ka By Various Artists

Aya holi ka tyohar leke rango ki bahar
Chali panghat ko ek matwali raste me kisi ne rang dali
Raste me kisi ne rang dali
Aya holi ka tyohar leke rango ki bahar
Chala kheto ko ek matwala, raste me kisi ne rang dala
Raste me kisi ne rang dala

Gharwale puche gayi kyu akeli
Jag wale chede kaha rang kheli
Mera kya batadungi mera hal ye kisne kiya
Ho log magar kuch or na samjhe
Ho log magar kuch or na samjhe
Nam kisi ka lete tera mujhda jo sarmaya
Aya holi ka tyohar leke rango ki bahar
Chala kheto ko ek matwala, raste me kisi ne rang dala
Raste me kisi ne rang dala

Kaha jati ho gori bahana karke
Chodo ge kya diwana karke
Bolo chodo ge kya diwana karke
Meri chunri kahe bigoye is julmi se pucho re koi
Meri chunri kahe bigoye is julmi se pucho re koi
Julmi se pucho re koi, julmi se pucho
Nakhra ab ke mai kyu royi is julmi se pucho re koi
Ho dono ka hai dosh barabar, dono ka hai dosh barabar
Hamne rang lagaya tune dil ka rog lagaya
Aya holi ka tyohar leke rango ki bahar
Chali panghat ko ek matwali raste me kisi ne rang dali
Raste me kisi ne rang dali

Na ghabra rang hai kacha chut jayega
Na sarma varna ye dil tut jayega
Rangana hai to bedardi mujhe pyar ka rang laga
Pyar se pahle soch samjhle
Pyar se pahle soch samjhle
Bas me jisne socha wo bahut pachtaya
Aya holi ka tyohar leke rango ki bahar
Chala kheto ko ek matwala, raste me kisi ne rang dala
Raste me kisi ne rang dala
Raste me kisi ne rang dali
Raste me kisi ne rang dali...

Song Details
Movie
Daku Mangal Singh
Artist
Various Artists
Music Directory
Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)
Music Label
Saregama
Singers
Mohammed Rafi, Shamshad Begum
Lyricist
Anand Bakshi

more lyrics from Daku Mangal Singh

Aaya Holi Ka
Ankhon Ke Saamne
Ek To Ye Bahar
Pyar Kiya Hai
Sone Ke Tere Jhumke