Din badla raat badli
Sitare badal gaye
Badli adaye aur
Ishare badal gaye
Chehre badal gaye
Kahi surat badal gayi
Nazre badal gayi to
Nazaare badal gaye
Dil badle teer badle
Nishana badal gaya
Duniya ke rang badle
Fasana badal gaya
Lekin tere badalne se
Badli har ek wo cheez
Tu jo badal gayi to
Zamana badal gaya
Sochna kya us ghadi ka
Jo gayi jo gayi jo gayi
Tu pahele kya thi
Aur ab kya ho gayi
Tu pahele kya thi
Aur ab kya ho gayi
Tu pahele kya thi
Aur ab kya ho gayi
Kal lut rahe the tujhko lutere
Kitne hi zalim dushman the tere
Izzat ke daku rehte the ghere
Chaaro taraf the gham ke andhere
Har ek nazar ek mithi chhuri thi
Har aadmi ki niyat buri thi
Jo lut te the roop ka sona
Jinke liye thi nari khilona
Padne lag jab laaj pe daka
Tu banke banke uthi ek dhamaka
Kal tak thi tu ek harni jaisi
Aaj lage tu sherni jaisi
Khub yeh tune badla hai chola
Kal tak thi sabnam aaj hai shola
Kamp utha har ta dil kamina
Rupa bani jab daku hasina re
Tu pahele kya thi
Aur ab kya ho gayi
Tu pahele kya thi
Aur ab kya ho gayi
Tu pahele kya thi
Aur ab kya ho gayi
Nazar ke samne mata
Pita ka khun hua
Jawani lu gayi sharmo
Haya ka khun hua
Samaj chup raha
Mardo ki be usuli par
Latakti reh gayi tu
Wasna ki shuli par
Duhlan na ban saki par
Dulhano ke kaam aayi
Teri wajah se baji kitne
Ghar mein sehnai
Ae sherni teri shero ki
Hukm rani hai
Har ek julm tere aage
Paani paani hai
Wo saj ke dekh
Ko sholo ke jake leti hai
Kausalya hawa ya sauda ki
Wo bhi beti hai
Yahi paimbaro avatar
Ko bhi janmi hai
Yeh shurmao ki bhi ho ki
Maa bhi banti hai
Yeh seeta parvati hai
Yahi to radha hai
Yeh laxmi hai yeh maryam hai
Yeh zulekha hai
Inhi ka daudta hai
Khun teri nas nas mein
Tu raaz wali re
Har raaz hai tere bas mein
Tu pahele kya thi
Aur ab kya ho gayi
Tu pahele kya thi
Aur ab kya ho gayi
Tu pahele kya thi
Aur ab kya ho gayi
Tera nishana sacha nishana
Darta hai tujhse sara zamana
Shero ke jaisa tera jigar hai
Bijli ki jaisi teri nazar hai
Mardo se tune hak apna chhina
Chrche hai tere ghar ghar hasina
Kya iska rona jo kho chuka hai
Wo ab na hoga jo ho chuka hai
Kyu ke tipu sultan ki lalkar tu hai
Aur shivaji ki talwar tu hai
Bhole sankar ka trishul hai tu
Aur tu hai bhavani ki mala
Tu bhagatsingh ki pistol bhi hai
Rana pratap ka tu hai bhala
Laxmi bai ki shaan tu hai
Shero wali ka vardan tu hai
Nur hai tere dil mein khuda ka
Khauf tujhko nahi hai kaja ka
Pyar mamta ki tasveer hai tu
Jaane kitni ki taqdeer hai tu
Naam sun kar tera yeh hasina
Utli fulan ko aaya pasina
Tu pahele kya thi
Aur ab kya ho gayi
Tu pahele kya thi
Aur ab kya ho gayi
Tu pahele kya thi
Aur ab kya ho gayi tu...
Song Details
- Movie
- Daku Hasina
- Artist
- Usha Khanna
- Music Directory
- Usha Khanna
- Music Label
- T-Series
- Singers
- Bade Yusuf Azad
- Lyricist
- Payam Sayeedi