Allah ke rasul ka farman aam hai
Is naam me namaaz ka pehala makam hai
Aye momina suno yeh karamat namaaz ki
Aye momina suno yeh karamat namaaz ki
Jannat me le ke jayegi ye
Aadat namaaz ki
Jannat me le ke jayegi ye
Aadat namaaz ki
Jannat me le ke jayegi ye
Aadat namaaz ki
Aye momina suno yeh karamat namaaz ki
Aye momina suno yeh karamat namaaz ki
Aye momina suno
Ek vakya sunata hu namaaz ka
Ek mozila bata hu tumko namaaz ka
Dilli me ek ladki badi honhar thi
Sirat me badi nek ibbat gujar thi
Ghar ghar namaaz ja
Ke vo baccho ko sikhati
Tasvir kiya karti thi
Har waqt khuda ki
Kahti thi ki khid mat
Ka sabhak deti hai namaaz
Saitan ko insan bana leti hai namaaz
Banda vahi hai jisko hai
Chahat namaaz ki
Aye momina suno yeh karamat namaaz ki
Aye momina suno yeh karamat namaaz ki
Ek roj uske chehere ki
Jo khil gayi kali
Mayake se doli uth gayi
Sasural aa gayi
Shadi ki raat me bhi na bhuli namaaz ko
Shoher se kaha waqt e fazer
Aap bhi pado
Har haal me namaaz musalma ka farz hai
Jab tak ye zindagi hai khuda ka ye karz hai
Bola ke is namaaz se kuch fayada nahi
Fir gis rahi hai kis liye tu apni ye jewi
Dil me nahi thi uske mohabbat namaaz ki
Aye momina suno yeh karamat namaaz ki
Aye momina suno
Dil par ek or chot lagi
Jab pata chala
Khavind uska roj khela kata hai jua
Boli ye jua haram hai ye khel hai bura
Par vo na mana gahne sab bechne laga
Kuch din ke baad ek chand sa beta hua paida
Bete ko maa ne paya to
Ghum hua halka
Ghur waqt me bit gaye pure teen saal
Sohar ka tha na biwi na bache ka kuch khayal
Muskil me kaam aati hai takat namaaz ki
Aye momina suno ye karamat namaaz ki
Aye momina suno
Ek raat vo tandur jalane ko jab uthi
Tandur ke jalte hi ajaa fajal ki hui
Karke waju musalle pe jakar khadi hui
Ruhani mato se wo masrur ho gayi
Itne me uska ladla rota hua aaya
Rota hua aage se wo uske nikal gaya
Jalte hue tandur me wo bacha gir gaya
Bache ki chikh sun ke wo sohar bhi aa gaya
Manjar ye dekhte hi tadap kar vo rah gaya
Bache ko jalte dekh ke chilla ke vo peda
Tandur se jis waqt bache ko nikala
Hath uske dono jal gaye
Chehera jhulas gaya
Sajade me maa padi thi or bacha gaya tha mar
Mashul thi namaaz me usko na thi khabar
Usne salam pher ke jab ki udhar najar
Bache ki lash dekhke dil aaya uska bhar
Sohar ne dekha biwi ko gusse se ye kaha
Tu hi bata namaz ka ye kya mila sila
Bache ki jaan le li hai teri namaz ne
Tujhko saja de di hai teri namaz ne
Wo dono hath bandhe musalle pe thi khadi
Sohar ke tane sunte hi bijli si gir padi
Darbar ilahi me jo usne uthaye hath
Boli ki ami to khoyi thi tere karam ke sath
Ye kya kiya tune to meri god hi ujad di
Parwar dagar tune to achhi ye saja di
Ankho se uske sabar ke ansu nikal pade
Aasu nikal pade to musalle pe gir gaye
Ya rab mer inamaz ki tu laz bachale
Sajde me mohamad ke tu ab jalwa dikhade
Itne me asmmaa me andhera sa chha gaya
Bijli kadak uthi or buhal aa gaya
Phir jhum ke rahmat ka wo badal baras pada
Sohar bhi achha ho gaya
Bacha bhi ji utha
Ammi pukarta hua is im pe chal pada
Or jakar maa ki god me bacha machal pada
Ma ne gale laga liya or pyar kar liya
Allah ke huzur me saujda ada kiya
Biwi ko dekhte hi sohar bhi ro pada
Biwi se or bache se jakar lipat gaya
Bola mujhe khuda ke liye maf kijiye
Jo chahe is khat ki saja aap dijiye
Apne kiye pe aaj wo sarminda ho gaya
Saitan se wo allah ka wo banda ho gaya
Tauba meri kubul kare paak benihaj
Mai bhi padunga aaj se har waqt ki namaj
Do jaft ki ankh bhal usko kya jalayegi
Mathe pe kiske likhi ho barkat namaj ki
Eye mohmillo suno ye karmat namaj ki
Jannat me le ke jayaegi adat namaj ki
Jannat me le ke jayaegi adat namaj ki
Eye mohmillo suno ye karmat namaj ki
Eye mohmillo suno
Sajde me jo bhi aa gaya allah ko pyara
Jannat me jayega wo
Mohamad ka dulara
Shan hai sahadat namaj ki
Eye momina suno...
Song Details
- Movie
- Daku Bijlee
- Artist
- Various Artists
- Music Directory
- Anwar (Anwar - Usman), Usman (Anwar - Usman)
- Music Label
- T-Series
- Singers
- Mohammed Aziz
- Lyricist
- Jalal Malihabadi