Jab bhi ji chahe nai duniya basa lete hai log

Ek chehre pe kai chehre laga lete hai log

Yaad rahta hai kise guzre zamane ka chalan
Yaad rahataa hai kise
Sard pad jati hai chahat haar jati hai lagan
Ab mohabbat bhi hai kya ik tijarat ke siva
Ham hi nadan the jo odha biti yado ka kafan
Varna jine ke liye sab kuchh bhula lete hai log
Varna jine ke liye sab kuchh bhula lete hai log
Ek chehre pe kai chehre laga lete hai log
Jane vo kya log the jinko wafa ka paas tha
Jane vo kya log the
Dusre ke dil pe kya guzregi ye ehasas tha
Ab hai patthar ke sanam jinko ehasas na ho
Wo zamana ab kaha jo ahal-e-dil ko raas tha
Ab to matlab ke liye naam-e-wafa lete hai log
Ab to matlab ke liye naam-e-wafa lete hai log
Jab bhi ji chahe nai duniya basa lete hai log
Ek chehre pe kai chehre laga lete hai log
Ek chehre pe kai chehre laga lete hai log..
Song Details
- Movie
- Daag
- Artist
- Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal)
- Music Directory
- Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)
- Music Label
- Saregama
- Singers
- Lata Mangeshkar
- Lyricist
- Sahir Ludhianvi