Usko nahin dekha humne kabhi
Par iski zarurat kya hogi ai maa,
Ai maa teri surat se alag
Bhagavan ki surat kya hogi, kya hogi
Usko nahin dekha humne kabhi
Insan to kya devata bhi
Aanchal me pale tere
Hai swarg isi duniya me
Kadamo ke tale tere
Mamata hi lutaye jiske nayan, ho
Mamata hi lutaye jiske nayan
Aisi koi murat kya hogi
Ai maa, ai maa teri surat se alag
Bhagavan ki surat kya hogi, kya hogi
Usko nahin dekha humne kabhi
Kyo dhup jalaye dukho ki
Kyo gham ki ghata barase
Ye hath duao wale
Rahte hai sada sar pe
Tu hai to andhere path me hume, ho
Tu hai to andhere path me hume
Suraj ki zarurat kya hogi
Ai maa, ai maa teri surat se alag
Bhagavan ki surat kya hogi, kya hogi
Usko nahin dekha humne kabhi
Kahate hai teri shan me jo
Koi unche bol nahin
Bhagavan ke pas bhi mata
Tere pyar ka mol nahin
Hum to yahi jane tujhse badi, ho
Hum to yahi jane tujhse badi
Sansar ki dolat kya hogi
Ai maa, ai maa teri surat se alag
Bhagavan ki surat kya hogi, kya hogi
Usko nahin dekha humne kabhi
Par iski zarurat kya hogi ai maa,
Ai maa teri surat se alag
Bhagavan ki surat kya hogi, kya hogi
Usko nahin dekha humne kabhi..
Song Details
- Movie
- Daadi Maa
- Artist
- Roshanlal Nagrath (Roshan)
- Music Directory
- Roshanlal Nagrath (Roshan)
- Music Label
- Saregama
- Singers
- Mahendra Kapoor, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
- Lyricist
- Majrooh Sultanpuri