Jeenewale Muskura Ke Jee By Rahul Dev Burman

Jeenewale muskura ke jee
Khushi ke jam muskura or pee
Khabar kisko ke kal kya ho
Are ye do din ki hai jindagi

Khub hai ye falsafa aapka
Kal ko goli mar do are wah wah
Khub hai ye falsafa aapka
Kal ko goli mar do are wah wah
Khub ho tum or kya kahne hai
Tumhari mahfil ke
Jeenewale muskura ke jee
Khushi ke jam muskura aur pee
Khabar kisko ke kal kya ho
Are ye do din ki hai jindagi

Lakh bach bach ke chalo is rah par
Dhokha de hi jayegi tumhari najar
Lakh bach bach ke chalo is rah par
Dhokha de hi jayegi tumhari najar
Milti hai manjil jab chalte hai
Dono mil mil ke
Jeenewale muskura ke jee
Khushi ke jam muskura aur pee
Khabar kisko ke kal kya ho
Are ye do din ki hai jindagi

Jindagi kya cheez hai kya jano tum
Ho sake to khud ko hi pahchano tum
Jindagi kya cheez hai kya jano tum
Ho sake to khud ko hi pahchano tum
Pathar dil tum kya jano
Mehman ho kis din ke
Jeenewale muskura ke jee
Khushi ke jam muskura aur pee
Khabar kisko ke kal kya ho
Are ye do din ki hai jindagi..

Song Details
Movie
Chhote Nawab
Artist
Rahul Dev Burman
Music Directory
Rahul Dev Burman
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Lyricist
Shailendra (Shankardas Kesarilal)

more lyrics from Chhote Nawab

Aaj Hua Mera Dil Matwala
Chura Ke Dil Ban Rahe
Ghar Aaja Ghir Aaye
Ilaahi Tu Sun Le
Jeenewale Muskura Ke Jee
Matwali Ankhonwale