Aansoo Samajh Ke By Salil Chowdhury

Aansu samajh key kyon
Mujhe aankh se tune gira diya
Motee kisike pyar kaa
Mittee me kyon mila diya
Aansu samajh key kyon mujhe

Jo naa chaman me khil saka
Mai woh garib phool hu
Jo naa chaman me khil saka
Mai woh garib phool hu
Jo kuchh bhee hu bahar kee
Chhotisee ek bhul hu
Jisne khila ke khud mujhe
Khud hee mujhe bhula diya

Aansu samajh key kyon
Mujhe aankh se tune gira diya
Aansu samajh key kyon mujhe

Nagma hu kab magar mujhe
Apne pe koi naaz tha
Nagma hu kab magar mujhe
Apne pe koi naaz tha
Gaaya gaya hu jispe mai
Tuta hua mai saaz tha
Jisne sun has diya
Has ke mujhe roola diya

Aansu samajh key kyon
Mujhe aankh se tune gira diya
Aansu samajh key kyon mujhe

Meree khata maf hai
Bhule se aa gaya yaha
Meree khata maf hai
Bhule se aa gaya yaha
Varana mujhe bhee hain khabar
Mera nahee hain yeh jahan
Dub chala tha nind me
Achchha kiya jaga diya

Aansu samajh key kyon
Mujhe aankh se tune gira diya
Motee kisike pyar kaa
Mittee me kyon mila diya
Aansu samajh key kyon mujhe..

Song Details
Movie
Chhaya
Artist
Salil Chowdhury
Music Directory
Salil Chowdhury
Music Label
Saregama
Singers
Talat Mahmood
Lyricist
Rajendra Krishan

more lyrics from Chhaya

Aansoo Samajh Ke
Ankhon Mein Masti
Chham Chham
Chori Chori Jane Hum
Maan Ja Tu
Main Ek Badal Aawara