Saathi re
Saathi re
Saathi re
Kadam kadam se dil se dil milaa rahe hai ham
Vatan me ek nayaa chaman khilaa rahe hai ham
Kadam kadam se dil se dil milaa rahe hai ham
Vatan me ek nayaa chaman khilaa rahe hai ham
Kadam kadam se dil se dil
Saathi re bhaai re
Ham aaj niv rakh rahe hai us nijaam ki
Us nijaam ki
Bike na zindagi jahaan kisi gulaam ki
Kisi gulaam ki
Lute na mehanate pise hue aavaam ki
Na bhar sake tijoriyaan koi haraam ki
Saathi re bhaai re
Har ek unch nich ko mitaa rahe hai ham
Kadam kadam se dil se dil milaa rahe hai ham
Vatan me ek nayaa chaman khilaa rahe hai ham
Kadam kadam se dil se dil
Saathi re bhaai re
Hamaare baajuo me aandhiyo kaa zor hai
Aandhiyo kaa zor hai.
Hamaari dhadakano me baadalo kaa shor hai
Baadalo kaa shor hai
Hamaare haath me vatan ki baagador hai
Na bach ke jaa sakege jinake dil me chor hai
Saathi re bhaai re
Suno ki apanaa faisalaa sunaa rahe hai ham
Kadam kadam se dil se dil milaa rahe hai ham
Vatan me ek nayaa chaman khilaa rahe hai ham
Kadam kadam se dil se dil
Saathi re bhaai re
Utha liya hai ab samaj vaad ka nishaan
Samaj vaad ka nishaan
Alag salag na hogi ab hamari khetiya
Ye hamari khetiya
Chalegi sabke vaste milo ki chadthiya
Zameen se aasman talak uthegi chimaniya
Saathi re bhaai re
Kaha tha jo wo karke ab dikha rahe hai hum
Kadam kadam se dil se dil milaa rahe hai ham
Vatan me ek nayaa chaman khilaa rahe hai ham
Kadam kadam se dil se dil
Saathi re bhaai re
Uthe vo naujavan jinko pyaar chahiye
Jinko pyaar chahiye
Badhe vo dulhane jinhe yaar chahiye
Jinhe yaar chahiye
Chale vo gulsita jinhe nikhar chahiye
Sune vo bastiyaa jinhe bahar chahiye
Saathi re bhaai re
Ke jindagi ko uska haq dila rahe hai hum
Kadam kadam se dil se dil milaa rahe hai ham
Vatan me ek nayaa chaman khilaa rahe hai ham
Kadam kadam se dil se dil
Saathi re bhaai re
Ye rasta sunahari manzilo ko jayega
Manzilo ko jayega
Ye rasta kushi ki bastiya batayega
Bastiya batayega
Bichhade gaye the jo unhe karib layega
Ye rasta hai jo dil se dil milayega
Saathi re bhaai re
Ke ab tamaam fasale mita rahe he hum
Kadam kadam se dil se dil milaa rahe hai ham
Vatan me ek nayaa chaman khilaa rahe hai ham
Kadam kadam se dil se dil..
Song Details
- Movie
- Char Dil Char Raahein
- Artist
- Anil Krishna Biswas
- Music Directory
- Anil Krishna Biswas
- Music Label
- Saregama
- Singers
- Mahendra Kapoor, Meena Kapoor, Mukesh Chand Mathur (Mukesh), Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
- Lyricist
- Sahir Ludhianvi