Band Lifafe Mein By Rahul Dev Burman

Apne farz nibhaya hai, apne farz nibhaya hai
Manjil tak pahuchaya hai
Apki badi nawazish hai lekin ek gujarish hai
Band lifafe me jaise, band lifafe me jaise
Paigam likha hota hai
Band lifafe me jaise paigam likha hota hai
Dil ke kore kagaj pe, dil ke kore kagaj pe
Ek nam likha hota hai
Band lifafe me jaise paigam likha hota hai

Ulfat kahi badlati hai dil se kabhi nikalti hai
Aksar ham diwano ka chahat ke afsano ka
Kahte hai pahle se hi anjam likha hota hai
Dil ke kore kagaj pe ek nam likha hota hai

Dunia khub samjhti hai unki jodi banti hai
Jis ladke ke chehre par, jis ladki ke chehre par
Radha likha radha likha hota hai
Or sham likha hota hai
Dil ke kore kagaj pe ek nam likha hota hai

Dilbar ab bhi rote hai muft me jo bhi hote hai
Phir kyu phul baharo me bikte hai bajaro me
Dil wo cheez nahi jis par dam likha hota hai
Dil ke kore kagaj pe ek nam likha hota hai..

Song Details
Movie
Chalta Purza
Artist
Rahul Dev Burman
Music Directory
Rahul Dev Burman
Music Label
Saregama
Singers
Kishore Kumar, Lata Mangeshkar
Lyricist
Anand Bakshi

more lyrics from Chalta Purza

Are Aa Gaye Hum Dildaar
Baby Ghar Chalo
Band Lifafe Mein
Raat Ne Rang Jamaya Ha