Mujhe Kuchh Kahna Hai By Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal)

Mujhe kuch kehna hai
Mujhe bhi kuch kehna hai
Mujhe kuch kehna hai
Mujhe bhi kuch kehna hai
Pehle tum pehle tum
Pehle tum pehle tum
Pehle tum
Tum tum
Tum tum
Tum tum
Tum

Dekho, jis tarha lukhnow ke do nawaabon ki gaadi
Pehle aap, pehle aap, pehle aap
Pehle aap karte nikal gayi thi
Us tarha hamaari pehle tum, pehle tum, pehle tum
Pehle tum mein yeh masti bhari ruth na chali jaaye

Achha, main kehti hoon
Hm, aksar koi ladki is haal mein
Kisi ladke se solwe saal mein
Jo kehti hai voh mujhe kehna hai

Aksar koi ladka is haal mein
Kisi ladki se solwe saal mein
Jo kehta hai voh mujhe kehna hai

Aksar koi ladki
Haan, aksar koi ladka

Haan haan, aksar koi ladki is haal mein
Na aankhon mein neend, na dil mein qaraar
Yahi intezaar, yahi intezaar
Tere bina kuch bhi achha nahin lagta
Sab jhoota lagta hai, sacha nahin lagta
Na ghar mein lage dil, na baahar kahin par
Baithi hoon kahin par, khoyi hoon kahin par
Arre kuch na kahoon, chup rahoon
Main nahin nahin nahin nahin nahin nahin par
Ab mushkil chup rehna hai
Mujhe kuch kehna hai

Mujhe bhi kuch kehna hai
Pehle tum pehle tum
Pehle tum pehle tum
Pehle tum

Mujhe raat din nahin aur kaam
Kabhi teri yaad, kabhi tera naam
Sab rang duniya ke pheeke lagte hain
Ek tere bol bas meethe lagte hain
Likhe hai bas tere sajde is zameen par
Zinda hoon main teri bas haan par nahin par
Arre kuch na kahoon, chup rahoon
Main nahin nahin nahin nahin nahin nahin par
Ab mushkil chup rehna hai
Mujhe kuch kehna hai

Mujhe bhi kuch kehna hai
Pehle tum pehle tum
Pehle tum pehle tum
Tum tum
Tum tum

Mile humko phool ke kaante mile
Vahan jaa base, vahan jaa rahe
Tujhe milne mein jahan darr na ho koi
Piya ke sivaai duja ghar na ho koi
Kya aisi jaga hai koi is zameen par
Rehne de baat ko yahan par, yahin par

Arre kuch na kahoon, chup rahoon
Main nahin nahin nahin nahin nahin nahin par
Ab mushkil chup rehna hai

Hm, aksar koi ladki is haal mein
Kisi ladke se solwe saal mein
Jo kehti
Jo kehta hai voh mujhe kehna hai
Aksar koi ladki
Ho, aksar koi ladka
O, aksar koi ladki
Is haal mein..

Song Details
Movie
Bobby
Artist
Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal)
Music Directory
Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)
Music Label
Shemaroo
Singers
Lata Mangeshkar, Shailendra Singh
Lyricist
Anand Bakshi

more lyrics from Bobby

Ae Ae Ae Phansa
Ankhiyon Ko Rahne De
Beshak Mandir Masjid
Hum Tum Ek Kamre Mein Band Ho
Jhoot Bole Kauva Kate
Main Shayar To Nahin
Mujhe Kuchh Kahna Hai
Na Mangun Sona Chandi