Mohandas Karamchand Gandhi By Prem Dhawan

Mohandas karamchand gandhi
Param pujari ahinsa ke
Janme do october ke din
Porbandar ki dharti pe
Jab the afrika me
Goro ne inka apman kiya
Kala hindustani kah
Kar train se inhe utar diya
Bhed ye gore or kale ka
Bhed ye gore or kale ka
Is dharti se hatane ko
Nikal pade ye
Satay ke path pe
Atyachar mitane ko
Atyachar mitane ko
Aakar bharat me
Sare bharat ko
Inhone jaga diya
Ek fakir ne
Satay ke bal pe
Angrejo ko hila diya
Inki sada pe logo ne
Sab vastr videshi jala diye
Satyagrah ke
Aage topo ne bhi
Mastak jhuka diye

Chhodo bharat chhodo
Chhodo bharat chhodo
Chhodo bharat chhodo
San bayalis me
Gunja inka nara
Chodo hindustan
Aakhir sach ki jit hui
Or chal diye gore inglistan

Jai bharat ki jai gandhi ki
Aaye re haye tees january
Adtalish ki khuni sham
Goli aan lagi sine pe
Fir bhi mukh se nikla ram
Vashnav jan to tene kahiye
Jo peed parayi jane re
Par dukh ke upakar kare
Koi man abhiman na aaye re
Vaishnav jan to tene kahiye..

Song Details
Movie
Bharat Ke Shaheed
Artist
Prem Dhawan
Music Directory
Prem Dhawan
Music Label
Saregama
Singers
Mahendra Kapoor
Lyricist
Madan Bharati, Prem Dhawan

more lyrics from Bharat Ke Shaheed

Aayega Dulha Mera
Kishan Singh Gadgaz
Mere Daman Ki Thandi
Mohandas Karamchand Gandhi
Sambhalo Ae Watan Walo