Tujhe pyaar karte hain karte rahenge
Ke dil banke dil me dhadakte rahenge
Tujhe pyaar karte hain karte rahenge
Ke dil banke dil mein dhadakte rahenge
Tera naam le le ke jeete rahenge
Tera naam le le ke marte rahenge
Tujhe pyaar karte hain karte rahenge
Ke dil banke dil mein dhadakte rahenge
Tujhe bhool jaaun ye mumkin nahin hai
Kahin bhi rahoon mera dil to yahin hain
Tujhe bhool jaaun ye mumkin nahin hai
Kahin bhi rahoon mera dil to yahin hain
Ghate chand lekin mujhe gham na hoga
Tera pyaar dil se kabhi kam na hoga
Guzarne ko ye din guzarte rahenge
Ke dil ban ke di me dhadakte rahenge
Tera naam le le ke jeete rahenge
Tera naam le le ke marte rahenge
Tujhe pyaar karte hain karte rahenge
Ke dil banke dil me dhadakte rahenge
Haseen phool ki zindgaani bhi kya hai
Abhi hans raha tha abhi ro raha hai
Haseen phool ki zindgaani bhi kya hai
Abhi hans raha tha abhi ro raha hai
Jo guzre khushi me wahi zindagi hai
Nahin to ye duniya badi besuri hai
Teri dhun me bante swarte rahenge
Ke dil banke dil me dhadakte rahenge
Tera naam le le ke jeete rahenge
Tera naam le le ke marte rahenge
Tujhe pyaar karte hain karte rahenge
Ke dil banke dil me dhadakte rahenge
Agar mar gaya rooh aaya karegi
Tujhe dekh kar geet gaaya karegi
Agar mar gaya rooh aaya karegi
Tujhe dekh kar geet gaaya karegi
Mujhe dekhkar tum na aansoo bahaana
Bas itni guzaarish hai tum muskuraana
Tere pyar me rang bharte rahenge
Ke dil banke dil me dhadakte rahenge
Tera naam le le ke jeete rahenge
Tera naam le le ke marte rahenge
Tujhe pyar karte hain karte rahenge
Ke dil banke dil me dhadakte rahenge
Tujhe pyar karte hain karte rahenge
Ke dil banke dil me dhadakte rahenge..
Song Details
- Movie
- April Fool
- Artist
- Various Artists
- Music Directory
- Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
- Music Label
- Saregama
- Singers
- Mohammed Rafi, Suman Kalyanpur
- Lyricist
- Hasrat Jaipuri