Tere Nainon Ke Main Deep Jalaoonga By Sachin Dev Burman

O tere naino ke mai dip jalaunga
Apni ankho se dooniya dikhalaunga
O tere naino ke mai dip jalaunga

Achchha, woh kya hai, ek mandir hai
Us mandir me, ek murat hai
Yeh murat kaisi hoti hai
Teri surat jaisi hoti hai
Woh kya hai

Mai kya janu chhanv hai kya, aur dhup hai kya
Rang birangi iss dooniya kaa rup hai kya
Woh kya hai, ek parvat hai
Us parvat pe ek badal hai
Yeh badal kaisa hota hai
Tere aanchal jaisa hota hai
Woh kya hai

Mast hawa ne ghunghat khola kaliyo kaa
Jhum ke mausam aaya hai rang raliyo kaa
Woh kya hai, ek bagiya hai
Us bagiya me kai bhanvare hai
Bhanvare kya rogi hote hain
Nahee dil ke rogi hote hain

Aisi bhi anjan nahee mai abb sajna
Bin dekhe mujhko dikhata hai sab sajna
Achchha, toh woh kya hai, woh sagar hai
Us sagar me ik naiya hai
Are tune kaise jan liya
Mann kee ankho se nam liya
Woh kya hai..

Song Details
Movie
Anuraag
Artist
Sachin Dev Burman
Music Directory
Sachin Dev Burman
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Lyricist
Anand Bakshi

more lyrics from Anuraag

Mera Raja Beta Boojhe Ek Paheli
Neend Churayi Chain Churaye
Ram Karay Babua
Sun Ri Pawan Pawan Purbaiya
Tere Nainon Ke Main Deep Jalaoonga