Bujhe bujhe rang hain nazaaron ke
Lut gaye qaafile bahaaron ke
Bujhe bujhe rang hain nazaaron ke
Lut gaye qaafile bahaaron ke
Phoolon ki tamanna ki thhi
Haar mile khaaron ke
Lut gaye qaafile bahaaron ke
Bujhe bujhe rang hain nazaaron ke
Lut gaye qaafile bahaaron ke
Beeti ruton ko koyi kaise pukaare
Hum kal talak thhe sab ke sab thhe hamaare
Beeti ruton ko koyi kaise pukaare
Hum kal talak thhe sab ke sab thhe hamaare
Aaj mohtaaj hain sahaaron ke
Lut gaye qaafile bahaaron ke
Bujhe bujhe rang hain nazaaron ke
Lut gaye qaafile bahaaron ke
Kal zindagi thhi apni sukh ka taraana
Marne ka dhoondhte hain aaj hum bahaana
Kal zindagi thhi apni sukh ka taraana
Marne ka dhoondhte hain aaj hum bahaana
Kaise kaise khel hain sitaaron ke
Lut gaye qaafile bahaaron ke
Bujhe bujhe rang hain nazaaron ke
Lut gaye qaafile bahaaron ke
Phoolon ki tamanna ki thhi
Haar mile khaaron ke
Lut gaye qaafile bahaaron ke
Bujhe bujhe rang hain nazaaron ke
Lut gaye qaafile bahaaron ke....
Song Details
- Movie
- Amaanat
- Artist
- Ravi Shankar Sharma (Ravi)
- Music Directory
- Ravi Shankar Sharma (Ravi)
- Music Label
- Saregama
- Singers
- Asha Bhosle
- Lyricist
- Sahir Ludhianvi