Mujhe Teri Mohabbat Ka By Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal)

Dilshad tha ke phul khilenge bahar mein
Mara gaya garib isi aitbar mein
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Agar tufan nahi aata, kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Agar tufan nahi aata, kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota

Na tha manzur kismat ko, na thi marzi baharo ki
Nahi to is gulistan mein
Nahi to is gulistan mein, kami thi kya nazaro ki
Meri nazaro ko bhi koi nazara mil gaya hota
Agar tufan nahi aata, kinara mil gaya hota

Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Khushi se apni aankho ko main ashko se bhigon leta
Mere badle tu has legi
Mere badle tu has legi, tere badle main ro leta
Mujhe ae kash tera dard sara mil gaya hota
Agar tufan nahi aata, kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota

Mili hai chandni din ko, yeh unki apni kismat hai
Mujhe apne muqaddar se
Mujhe apne muqaddar se, faqat itni shikayat hai
Mujhe tuta hua koi sitara mil gaya hota
Agar tufan nahi aata, kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota..

Song Details
Movie
Aap Aye Bahaar Ayee
Artist
Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal)
Music Directory
Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Lyricist
Anand Bakshi

more lyrics from Aap Aye Bahaar Ayee

Koyal Kyun Gaaye
Mujhe Teri Mohabbat Ka
Poochhe Jo Koi Mujhse
Saare Zamaane Pe
Tum Ko Bhi To Aisa Hi Kuchh