Mat puchho jo khushi ke maare, aaj hai apna haal
Aankhon mein chhaayi hai masti, behek rahi hai chaal
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake

Aaj duniya hai hamaari
Aaj duniya hai hamaari chalenge tan ke

Pyaar ke dekho kaise kaise rang aaye hai sehare mein
Hamne apane armaano ke phul sajaaye sehare mein

Dil ke gulshan se
Dil ke gulshan se laaye hai jo chun chunake
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake
Waha talak khushiya hi khushiya, najar jaha tak jaati hai
Khush kismat logo ko kismat aisa din dikhlaati hai

Isi din ko
Isi din ko gujaare din gin ginake
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake
Khushi mein dhadkan tej ho gayi, tej karo lay baaje ki
Apani manjil tak aa pahunchi, ghodi dulhe raaje ki

Ho dil jhume hoy
Ho dil jhume hoy shehnaayi ki sadaayein sunake
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake
Aaj duniya hai hamaari
Aaj duniya hai hamaari chalenge tan ke
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake..
Song Details
- Movie
- Aan Baan
- Artist
- Various Artists
- Music Directory
- Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
- Music Label
- Saregama
- Singers
- Mohammed Rafi
- Lyricist
- Gulshan Bawra (Gulshan Kumar Mehta)