Iski Ho Gayi Ho Uski Ho Gayi By Datta Naik

Haye iski ho gayi
Hoye uski ho gayi
Arey iski ho gayi
Ho uski ho gayi
Iski ho gayi uski ho gayi
Sabki ho gayi shadi
Main bechara bhag mein
Jiske ab tak hai barbadi
Koi to daya karo re
Koi to reham karo re
Koi to daya karo re
Koi to reham karo re

Sab khate hai paki pakayi
Main ek phunku chulha
Sab khate hai paki pakayi
Main ek phunku chulha
Mujhko bhi to milkar
Yaaro kabhi bana do dulha
Bich umariya aan fasi hai
Ab jivan ki naav
Mujhko bhi to badkar
Koi varmala pehnao
Ujade ujade ghar mein mere,
Ujade ujade ghar mein
Mere ho jaye aabad
Koi to daya karo re
Koi to reham karo re
Koi to daya karo re
Koi to reham karo re

Bikanair ka ghaghra choli
Aur delhi ke kangana
Bikanair ka ghaghra choli
Aur delhi ke kangana
Mat puchho jab chalegi gori
Chham chham more angana
Pas pados ke rahne wale
Dekhege lalchake
Git milan ke gayegi
Meri chhamo dol bazake
Dan dhahej mein bartan honge
Dan dhahej mein bartan honge
Asal muradabad koi
Koi to daya karo re
Koi to reham karo re
Koi to daya karo re
Koi to reham karo re

Mujhko bhaiya sabhi chalegi
Gori ho ya kali
Mujhko bhaiya sabhi chalegi
Gori ho ya kali
Itna dhayn rahe ki ho
Koi chhori nakhre wali
O bachke zara
Do naina matware ho
To kya kahne hai uske
Chhodke sara dhanda
Baitha rahunga
Ghar mein ghuske
Aur badhata jaunga main
Aur badhata jaunga
Main bharat ki aabad
Koi to daya karo re
Koi to reham karo re
Koi to daya karo re
Koi to reham karo re..

Song Details
Movie
Aag Aur Daag
Artist
Datta Naik
Music Directory
Datta Naik
Music Label
Saregama
Singers
Mohammed Rafi
Lyricist
Shamsul Huda Bihari (S. H. Bihari)

more lyrics from Aag Aur Daag

Choli Bheegi Lat Bheegi
Humse Badhkar Kaun Hoga Aapka
Iski Ho Gayi Ho Uski Ho Gayi
Kam Nahin Sharab Se Shokhiyan
Tere Is Pyar Ka Shukriya
Yeh Pyar Ka Jhagda