Zindaa hoon is tarah ki gham-e-zindagi nahin
Jalataa huaa diyaa hoon magar roshani nahin

Woh muddaten huin hain kisise judaa hue
Woh muddaten huin hain kisise judaa hue
Lekin ye dil ki aag abhi tak bujhi nahin
Zindaa hoon is tarah ki gham
Aane ko aa chukaa thaa kinaaraa bhi samane

Khud us ke paas hi meri naiyyaa gai nahin
Zindaa hoon is tarah ki gham
Honthon ke paas aae hansee, kyaa majhaal hai

Dil kaa muaamalaa hai koi dillagi nahin
Zindaa hoon is tarah ki gham
Ye chaand ye hawaa ye fizaa, sab hain maad-maast

Jab tu nahin to in men koi dilakashi nahin
Zindaa hoon is tarah ki gham-e-zindagi nahin
Jalataa huaa diyaa hoon magar roshani nahin
Zindaa hoon is tarah ki gham-e-zindagi nahin
Jalataa huaa diyaa hoon magar roshani nahin
Zindaa hoon is tarah ki gham-e-zindagi nahin
Jalataa huaa diyaa hoon magar roshani nahin..
Song Details
- Movie
- Aag
- Artist
- Ram Ganguly
- Music Directory
- Ram Ganguly
- Music Label
- Shamaroo
- Singers
- Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
- Lyricist
- Behzad Lucknavi