Main Tuti Hui Ek Naiya Hu By Naushad Ali

Main tuti hui ek naiya hu, mujhe chaahe jidhar le jaao
Main tuti hui ek naiya hu, mujhe chaahe jidhar le jaao
Jee chaahe dubo do maujo mein, ya saahil par le jaao
Main tuti hui ek naiya hu, mujhe chaahe jidhar le jaao

Ek tum hi sahara ho mera, jivan ki andheri raato mein
Duniya ki khushi taqdir ka ghum, sab kuchh tumhare haatho mein
Abb chaahe idhar le jaao mujhe, ya chaahe udhar le jaao
Main tuti hui ek naiya hu, mujhe chaahe jidhar le jaao

Maayus najar majbur kadam, ujadaa hua aalam hai dil ka
Jina bhi yeh koi jina hai, muh dekh saku na manzil ka
Bite hue din mil jaaye jahaan, mujhe aisi dagar le jaao
Ho mujhe aisi dagar le jaao
Main tuti hui ek naiya hu, mujhe chaahe jidhar le jaao

Aansu na bahaao mere liye, ghum mujhko akele sehne do
Tute na tumhara najuk dil, yeh dard mujh hi tak rehne do
Abb chhod do mujhko raaho mein, ya dur nagar le jaao
Ya dur nagar le jaao
Main tuti hui ek naiya hu, mujhe chaahe jidhar le jaao..

Song Details
Movie
Aadmi
Artist
Naushad Ali
Music Directory
Naushad Ali
Music Label
Saregama
Singers
Mohammed Rafi
Lyricist
Shakeel Badayuni

more lyrics from Aadmi

Aaj Purani Raaho Se
Kaari Badariyaa Maare
Kaisi Haseen Aaj
Kal Ke Sapane Aaj Bhee Aana
Main Tuti Hui Ek Naiya Hu
Na Aadami Ka Koyi Bharosa