Mera Dil Bharo Ka By Chitragupta Shrivastava

Mera dil baharo ka wo phool hai
Mera dil baharo ka wo phool hai
Jise gulsita ki najar lag gayi
Kisi ne jalaya nahi ye chaman
Ise bagba ki najar lag gayi

Ye sach hai ke tumne mujhe gum diya
Tumhe fir bhi maine na ruswa kiya
Ye sach hai ke tumne mujhe gum diya
Tumhe fir bhi maine na ruswa kiya
Kisi ne jo pucha to ye kah diya
Mujhe aasma ki najar lag gayi
Mera dil baharo ka wo phool hai
Jise gulsita ki najar lag gayi

Mujhe is jamane ne luta nahi
Ye dil badnasibi se tuta nahi
Mujhe is jamane ne luta nahi
Ye dil badnasibi se tuta nahi
Sitamgar koi mujhe rutha nahi
Kisi meharba ki najar lag gayi
Mera dil baharo ka wo phool hai
Jise gulsita ki najar lag gayi

Najar muskurai thi jiske liye
Usi ne nigaho ko aasu diye
Najar muskurai thi jiske liye
Usi ne nigaho ko aasu diye
Jaha dil diwane ne sajde kiye
Wahi aasta ki najar lag gayi
Mera dil baharo ka wo phool hai
Jise gulsita ki najar lag gayi..

Song Details
Movie
Aadhi Raat Ke Baad
Artist
Chitragupta Shrivastava
Music Directory
Chitragupta Shrivastava
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar
Lyricist
Anand Bakshi

more lyrics from Aadhi Raat Ke Baad

Badi Rangeen Hai
Bahut Haseen Hai
Kafir Nazar Takrai
Mera Dil Bharo Ka
Mukhde Pe Tere Bijli
O Gori Tori Banki