Meri Maa By Anupam Amod

Jab chot kabhi mere lag jaati thi
To aankh teri bhi to bhar aati thi
Maa..o..maa

Jab chot kabhi mere lag jaati thi
To aankh teri bhi to bhar aati thi
Ek chhoti si phoonk se teri
Sabhi dard mere hote the ghum

Aaj bhi koi chot lage to
Yaad aati ho, yaad aati ho
Aaj bhi meri, aankh bhare to
Yaad aati ho, yaad aati ho tum

Maa..meri maa..meri maa…
O maa..meri maa..meri maa…maa…

Teri baaton mein apni har ik main
Uljhan ka hall pa leta tha
Tere hathon ki roti aksar hi
Bhookh se zyaada kha leta tha

Teri baaton mein apni har ik main
Uljhan ka hall pa leta tha
Tere hathon ki roti aksar hi
Bhookh se zyaada kha leta tha
Tera hissa main, tera kissa main
Jo sabko sunaati ho tum

Aaj bhi teri baat chale to
Yaad aati ho, yaad aati ho tum
Aaj bhi meri, aankh bhare to..
Yaad aati ho, yaad aati ho tum..

Meri maa..meri maa….
Maa..meri maa..meri maa..maa…

Kone ko thaame tere aanchal ke
Be-fikra main so jaata tha
Mere dil mein kya hai tere bina maa
Koi samjha hi naa pata tha
Jo ho sang tu na.. To ho jag suna
Pyar itna jataati ho tum

Aaj bhi koi saaz lage to
Yaad aati ho, yaad aati ho tum
Aaj bhi meri aankh bhare to..
Yaad aati ho, yaad aati ho tum..

Maa..o meri maa..meri maa…
Meri maa..meri maa..meri maa..

Song Details
Movie
Yaariyan
Artist
Anupam Amod
Music Directory
Anupam Amod
Music Label
T-Series
Singers
Krishnakumar Kunnath (K.K)
Lyricist
Irshad Kamil

more lyrics from Yaariyan

ABCD
Love Me Thoda Aur
Meri Maa
Baarish
Mujhe Ishq Se
Sunny Sunny
Allah Waariyan
Zor Laga Ke Haisha