Agar mujhe na mili tum to me ye samjhunga
Ke dil ki raah se hokar khushi nahi guzari
Agar mujhe na mile tum to me ye samjhungi
Ke sirf umar kati zindagi na guzari
Ghazal ka husn ho tum nazb ka shabaab ho tum
Sad e saaz ho tum nagma e rabaab ho tum
Jo dil mein subha jaaga ye wo aaftab ho tum
Wo aaftab ho tum
Agar mujhe na mili tum to me ye samjhunga
Mere jahan se koi roshni nahi guzri
Agar mujhe na mile tum to me ye samjhungi
Ke sirf umar kati zindagi na guzari
Fiza me rang nazaro me jaan hai tumse
Mere liye ye zameen aasman hai tumse
Khyalo khwab ki duniya jawaan hai tumse
Jawaan hai tumse
Agar mujhe na mile tum to me ye samjhungi
Ke khwab khwab rahe bekasi nahi guzari
Agar mujhe na mili tum to me ye samjhunga
Ke dil ki raah se hokar khushi nahi guzari
Bade yakeen se maine ye hath manga hai
Ho meri wafa ne hamesha ka sath manga hai
Dilo ki pyaas ne aabe hayat manga hai
Dilo ki pyaas ne aabe hayat manga hai
Agar mujhe na mile tum to me ye samjhungi
Ke intjar ki muddat abhi nahi guzari
Agar mujhe na mili tum to me ye samjhunga
Agar mujhe na mile tum to me ye samjhungi
Ke sirf umar kati zindagi na guzari...