Sab Mein Shamil Ho Magar from Bahu Beti Movie (Ravi Shankar Sharma (Ravi))

Sab me shamil ho magar sabse juda lagati ho
Sab me shamil ho magar sabse juda lagati ho
Sirf hamse nahi khud se bhi khafa lagati ho
Sab me shamil ho magar

Aankh uthati hai naa jhukati hai kisi ki khatir
Aankh uthati hai naa jhukati hai kisi ki khatir
Sans chadhati hai naa rukati hai kisi ki khatir
Jo kisi dar pe naa thehare woh hawa lagati ho
Sirf hamse nahi khud se bhi khafa lagati ho
Sab me shamil ho magar

Julf leharaye toh aanchal me chhupa leti ho
Julf leharaye toh aanchal me chhupa leti ho
Honth tharraye toh danto me daba leti ho
Jo kabhi khul ke naa barse woh ghata lagati ho
Sirf hamse nahi khud se bhi khafa lagati ho
Sab me shamil ho magar

Jagi jagi najar aati ho naa soyi soyi
Jagi jagi najar aati ho naa soyi soyi
Tum jo ho apne khayalat me khoyi khoyi
Kisi mayus musavvir ki duwa lagati ho
Sirf hamse nahi khud se bhi khafa lagati ho
Sab me shamil ho magar...

Song Details
Movie
Bahu Beti
Artist
Ravi Shankar Sharma (Ravi)
Music Directory
Ravi Shankar Sharma (Ravi)
Music Label
Saregama
Singers
Mohammed Rafi
Lyricist
Sahir Ludhianvi

Other Lyrics from Bahu Beti

Aaj Hai Karwa Chauth
Bharat Maa Ki Aankh Ke Taro
Jiyo To Aise Jiyo
Meri Jaan Na Sata Tu
Meri Mang Ke Rang Me
Rangin Fiza Hai
Sab Mein Shamil Ho Magar

Other popular Lyrics by Ravi Shankar Sharma (Ravi)

O Nile Parbaton Ki Dhaaraa (Aadmi Aur Insaan)
Bacha Le Ae Maula Ae Ram (Aadmi Aur Insaan)
Tum Aaye To Hum Ko (Dahleez)
Badle Badle Mere Sarkar (Chaudhvin Ka Chand)
Bairi Chod De Mera Raasta (Babul Ki Galiyaan)
Dil Ki Kahani (Chaudhvin Ka Chand)
Itni Haseen Itni Jawaan Raat (Aaj Aur Kal)
Mere Yaar Ki Shaadi Hai (Aadmi Sadak Ka)
Pehle Suoongi Phir (Babul Ki Galiyaan)
Yammaa (China Town)