Teri tasvir bhi tujh jaisi hasi hai lekin
Ispe kurban meri jan
Hazi hai lekin
Ye meri jakhmi umango ka
Madawa to nahi
Hale dil is bute kafir ko sunau kaise
Iske ruksaro ki sadgi ko chedu kukar
Iske hotho pe tapassum ko jagau kaise
Teri tasvir bhi tujh jaise hasi hai lekin
Jabt ki aag na kahne ka salika mujhko
Uspe ye julm ki khamosh hai tasvir teri
Ghut ke mar jau khabar
Isko khabar tak bhi na ho
Kaise chattan se takrai hai takdir meri
Yahi tasvir tasuur me utar jane par
Chand ki kirano se
Gobad ke nikhar jati hai
Dard palko se lipat jata hai
Aasu ban kar
Mere ahsas ki duniya hi bikhar jati hai
Isliye tere taswur se nahi
Khud tujhe iltiza karta hu
Bas itna bata de mujhko
Kya mere dil ki tadap ka
Tujhe ahsas bhi hai
Kya mere dil ki tadap ka
Tujhe ahsas bhi hai
Warna fir meri hi wahsat me
Sula de mujhko
Teri tasvir bhi tujh jaisi hasi hai lekin
Ispe kurban meri jan
Hazi hai lekin...
Aaj Achanak Tut Gaye Kyun |
Chale Ja Rahe Hai |
Dekh Li Teri Khudai |
Har Aas Ashq Baar Hai |
Jab Gham E Ishq Satata Hai |
Maya Ka Aanchal Jale |
O Mast Nazar Tu Chahe Agar |
Teri Tasveer Bhi Tujh Jaisi |