Kaun apna kaun paraya
Kaun apna kaun paraya
Duniya ka yeh bhed abhi tak
Koyi samajh nahin paaya
Kaun apna kaun paraya
Jeevan ki naiya mein sabhi hain
Raahi ik manzil ke
Jeevan ki naiya mein sabhi hain
Raahi ik manzil ke
Inhi mein man ke meet milenge
Inhi mein dushman dil ke
Kisi ke dil mein bhari hai nafrat
Kisi ke dil mein bhari hai nafrat
Kisi mein pyaar ki maaya
Kaun apna kaun paraya
Kaun apna kaun paraya
Duniya ka yeh bhed abhi tak
Koyi samajh nahin paaya
Kaun apna kaun paraya
Kaun apna kaun paraya
Bichhde log bhi mil jaate hain
Kabhi kabhi jeewan mein
Bichhde log bhi mil jaate hain
Kabhi kabhi jeewan mein
Khushi ki lehren bhi uthti hain
Kisi ke dukhiya man mein
Kabhi kisi ne khoya jag mein
Kabhi kisi ne khoya jag mein
Kabhi kisi ne paaya
Kaun apna kaun paraya
Kaun apna kaun paraya
Duniya ka yeh bhed abhi tak
Koyi samajh nahin paaya
Kaun apna kaun paraya
Kaun apna kaun paraya
Koyi moorakh ban ke begaana
Apnon ko thukraaye
Haye koyi moorakh ban ke begaana
Apnon ko thukraaye
Koyi kisi ki khushi ke kaaran
Raste se hat jaaye
Koyi kinara chhod ke dhoonde
Koyi kinara chhod ke dhoonde
Toofanon ka saaya
Kaun apna kaun paraya
Kaun apna kaun paraya
Duniya ka yeh bhed abhi tak
Koyi samajh nahin paaya
Kaun apna kaun paraya
Kaun apna kaun paraya...
Aashik Hu Apne Pyar Ke |
Aaya Bahar Ka Zamana |
Allah Kare Main Bhi Dulhan |
Kaun Apna Kaun Paraya (Title) |
Mera Dil Tujhi Pe Nissar |