Chalo ek bar phir se, ajnabi ban jaye ham dono

Na mai tumse koi ummid rakhu, dilnavaji ki
Na tum meri taraf dekho, galat andaz nazro se
Na mere dil ki dhadkan ladkhadaye, meri bato me
Na jahir ho tumhari kashmkash ka, raz nazro se
Chalo ek bar phir se, ajnabi ban jaye ham dono
Chalo ek bar phir se, ajnabi ban jaye ham dono
Tumhe bhi koi uljhan, rokti hai peshkadmi se
Mujhe bhi log kehte hain, ki ye jalve paraye hai
Mere hamrah bhi rusvaiya hai, mere majhi ki

Tumhare sath bhi, gujri hui rato ke saye hai
Chalo ek bar phir se, ajnabi ban jaye ham dono
Chalo ek bar phir se, ajnabi ban jaye ham dono
Tarruf rog ho jae, to usko bhulna behtar
Talluk bojh ban jae, to usko todna achchha
Woh afsana jise anjam tak, lana na ho mumkin

Use ek khubsurat mod dekar, chhodna achchha
Chalo ek bar phir se, ajnabi ban jaye ham dono
Chalo ek bar phir se, ajnabi ban jaye ham dono
Chalo ek bar...
Aap Aaye To Khayaala |
Chalo Ek Bar Phir Se |
Ek Thi Ladaki Meri Saheli |
In Hawao Me In Fizao Me |
Yeh Hawa Yeh Hawa Yeh Hawa |