Zara dekh sanam mera jazba e dil
Mujhe aaj kahaan tak le aaya
Zara dekh sanam mera jazba e dil
Mujhe aaj kahaan tak le aaya
Jahaan aake main khud ko bhool gayi
Tera pyaar wahaan tak le aaya
Zara dekh sanam mera jazba e dil
Tu paas rahe phir kya gham hai
Has saans khushi ki sargam hai
O chhedne waale pyar ki dhum
Ehsaan tera ye kya kam hai
Ehsaan tera ye kya kam hai
Jo geet chhupe hain mere
Unhen meri zubaan tak le aaya
Zara dekh sanam mera jazba e dil
Ye thandi hawaayein lahraatin
Rangeen fazaayein madmaati
Ye thandi hawaayein lahraatin
Rangeen fazaayen madmaati
Main pyaar ki tere deewaani
Manzil pe akeli kya aati
Manzil pe akeli kya aati
Mera dard e muhabbat tujhko bhi
Mere saath yahaan tak le aaya
Zara dekh sanam mera jazba e dil
Mujhe aaj kahaan tak le aaya
Zara dekh sanam mera jazba e dil...