Gyan ka daan hi
Sabse bada hai
Jise koi na loote
Gyan ka daan hi
Sabse bada hai
Jise koi na loote
Gyan ka rista sacha rista
Gyan ka rista sacha rista
Baaki riste jhoothe
Jo gyan daan jo de jaata hai
Wo jag mein amar kahelata hai
Agyani ka jeevan jaise
Deep bina moti jaise
Ghar ghar mein deep jalaye
Gyan ki hi jyoti ke
Apne liye guru vidhata hai jo
Jag mein amar kahelata hai
Apne liye guru vidhata hai jo
Jag mein amar kahelata hai
Sab dharmo ka palan ki jiye
Manvta kaheti hai
Kisi ek ki nahi ye ganga
Sab ke liye behati hai
Ye jal jeevan mehakata hai
Aur mann pawan ho jaata hai
Ye jal jeevan mehakata hai
Aur mann pawan ho jaata hai
Unka jeena kya jeena jo
Apne liye jeete hai
Ek duje ke sukh dukh baate
Ek duje ke liye hai
Jo auro ke kaam aata hai
Wo jeevan ke sukh paata hai
Jo auro ke kaam aata hai
Wo jeevan ke sukh paata hai
Gyan ka daan hi
Sabse bada hai
Jise koi na loote
Gyan ka rista sacha rista
Baaki riste jhoothe
Maali ke jaane se gulsan
Suna ho jaayega
Lekin har bahar ka mausam
Rang naye laayega
Koi aata hai koi jaata hai
Yun waqt gujrta jaata hai
Koi aata hai koi jaata hai
Yun waqt gujrta jaata hai
Gyan ka daan hi
Sabse bada hai
Jise koi na loote
Gyan ka rista sacha rista
Baaki riste jhoothe
Gyan ka daan hi
Sabse bada hai
Jise koi na loote...
Apne Apne Se Lage |
Gyan Ka Daan Hi |
Idhar Bhi Tu |
Jo Socha Bhi Na Tha |
Teri Yaad Me Nind Na Aayi |
Tune Kiya Kya Jaadu |