Main jab bhi akeli hoti hoon,
Main jab bhi akeli hoti hoon,
Tum chupke se aa jaate ho
Aur jhaank ke meri aankhon mein,
Beete din yaad dilaate ho
Beete din yaad dilaate ho
Mastaanaa hawaa ke jhonkon se
Har baar wo parde kaa hilnaa
Parde ko pakadne ki dhun mein
Do ajnabi haathon kaa milnaa
Aankhon mein dhuaan saa chhaa jaanaa
Saanson mein sitaare se khilnaa
Beete din yaad dilaate ho,
Beete din yaad dilaate ho
Mud-mud ke tumhaaraa raste mein
Taknaa wo mujhe jaate jaate
Aur meraa thithak kar ruk jaanaa
Chilman ke qareeb aate aate
Nazron kaa taras kar rah jaanaa
Ek aur jhalak paate-paate
Beete din yaad dilaate ho,
Beete din yaad dilaate ho
Barsaat ke bheege mausam mein,
Barsaat ke bheege mausam mein,
Sardi ki thitharti raaton mein
Pahron wo yoon hi baithe rahnaa
Haathon ko pakadkar haathon mein
Aur lambi lambi ghadiyon kaa
Aur lambi lambi ghadiyon kaa
Kat jaanaa baaton baaton mein
Beete din yaad dilaate ho,
Beete din yaad dilaate ho
Barsaat ke bheege mausam mein,
Barsaat ke bheege mausam mein,
Sardi ki thitharti raaton mein
Pahron wo yoon hi baithe rahnaa
Haathon ko pakadkar haathon mein
Aur lambi lambi ghadiyon kaa
Aur lambi lambi ghadiyon kaa
Kat jaanaa baaton baaton mein
Beete din yaad dilaate ho,
Beete din yaad dilaate ho
Ro-ro ke tumhen khat likhti hoon
Ro-ro ke tumhen khat likhti hoon
Aur khud padhkar ro leti hoon
Haalaat ke tapte toofaan mein
Jazbaat ki kashti kheti hoon
Kaise ho kahaan ho
Kuchh to kaho,
Kaise ho kahaan ho
Kuchh to kaho,
Main tum ko sadaayen deti hoon
Main jab bhi akeli hoti hoon
Main jab bhi akeli hoti hoon,
Tum chupke se aa jaate ho
Aur jhaank ke meri aankhon mein,
Beete din yaad dilaate ho
Beete din yaad dilaate ho...