Zamana Kaisa from Seetapur Ki Geeta Movie (Various Artists)

Yaha sab jhagde roti ke hai
Raha pyar na koi arana
Zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
Zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
Ise azma ke dekha hai thok baja ke dekha
Ho raha pyar na koi arana
Zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
Zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
Ise azma ke dekha hai thok baja ke dekha

Chahe resmi shal odhle
Chahe bandh langoti
Jine ke liye chahiye re bhaiya
Do waqt ki roti
Phir kyu chandi sona ikatha
Karke bhare khajana
Do roti hi khani hai
Koi sona to nahi khana
Zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
Zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

Amir ka bas jo chale
Garib ko to jine bhi na de
Roti ki to bat chhod do
Pani bhi pine na de
Dhokhe fareb se lute garib ko
Daulat ka diwana
Pani ko piye chan chan ke
Khun piye anchhana
Zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
Zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

Jis majdur ki mehnat se
Bante hai mahal chobare
Wahi bechara sadak kinare apni rat gujare
Garib pe daulat mando ne
Aur kitna julm hai dhana
Jiske pasine se bangle bane
Nahi uska koi thikana
Zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
Zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

Jinke dil me pap bhara hai
Inki niyat khoti
Sab saulat mand chhin rahe hai
Dekho garib ki roti
Roti ke jhagde se ujade basta hua gharana
Beti ma se beta bap se ho jaye begana
Zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
Zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

Pooja path or dan kare
Bante hai din dayalu
Din ko jitne sardhalu hai
Rat ko utne chalu
Is kamre me bana hai mandir
Usme ha imaykhana
Idhar parbhu ko bhog lagaye
Udhar bhare paymana
Zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
Zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
Ise azma ke dekha hai thok baja ke dekha
Ho raha pyar na koi arana

Zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
Zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
Ise azma ke dekha hai thok baja ke dekha
Ho raha pyar na koi arana
Zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
Zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana.

Song Details
Movie
Seetapur Ki Geeta
Artist
Various Artists
Music Directory
Master Sonik, Om Prakash Sharma
Music Label
T-Series
Singers
Mahendra Kapoor
Lyricist
Verma Malik

Other Lyrics from Seetapur Ki Geeta

Hum Jo Kuch Karne Aaye Hai
Lachak Lachak Jaye Jawani
Na Chhatri Na Chhat
Phaink More Raja Rupaiya
Yaad Kar Yaad Kar
Zamana Kaisa

Other popular Lyrics by Various Artists

Dhak Dhak (Nautanki Saala)
Tu Hai Rab Mera (Zila Ghaziabad )
Mashallah (Ek Tha Tiger)
Arzoo (Blood Money)
Bin Tere (Chakradhar)
Maula (Jism 2)
Kya Raaz Hai (Raaz 3 )
Om Namo Namah Krishan (Main Krishna Hoon)
Jungle Hai Aadhi Raat (Biwi No. 1)
Billori (Chakradhar)