Tu hindu banega na musalaman banegaa
Insaan ki aulad hai insaan banega
Tu hindu banega na musalaman banegaa
Insaan ki aulad hai insaan banega
Acchaa hai abhi tak tera kuch naam nahi hai
Tujko kisi majhab se koi kaam nahi hai
Acchaa hai abhi tak tera kuch naam nahi hai
Tujko kisi majhab se koi kaam nahi hai
Jis ilm ne insaano ko tksim kiyaa hai
Us ilm ka tujpar koi iljaam nahi hai
Tu badle hue waqt ki pahechaan banega
Insaan ki aulad hai insaan banega
Tu hindu banega na musalaman banegaa
Insaan ki aulad hai insaan banega
Maalik ne har insaanko insaan banaya
Hum ne use hindu ya musalaman banaya
Maalik ne har insaanko insaan banaya
Hum ne use hindu ya musalaman banaya
Kudrat ne to hume baksi thi ek hi dharti
Humne kahi bharat kahi iran banaya
Jo tod de har sang vo tufaan banega
Insaan ki aulad hai insaan banega
Tu hindu banega na musalaman banegaa
Insaan ki aulad hai insaan banega
Nafrat vo sikhaaye vo dharam tera nahi hai
Insaan ko jo ronde vo kadam tera nahi hai
Nafrat vo sikhaaye vo dharam tera nahi hai
Insaan ko jo ronde vo kadam tera nahi hai
Kuraan na ho jisme vo mandir nahi tera
Geeta na ho jisme vo dharam tera nahi hai
Tu aman ka aur sulah ka armaan banega
Insaan ki aulad hai insaan banega
Tu hindu banega na musalaman banegaa
Insaan ki aulad hai insaan banega
Ye din ye tajar ye watan bechane vale
Watan bechane vale
Ye din ye tajar ye watan bechane vale
Insaan ki laaso ke kafan bechne waale
Insaan ki laaso ke kafan bechne waale
Ye mahelo me bhethe hue kaafir ye lutere
Kaanto ke ye majno hai chaman bechne waale
Kaanto ke ye majno hai chaman bechne waale
Tu inke liye maut kaa elaan banega
Insaan ki aulad hai insaan banega
Tu hindu banega na musalaman banegaa
Insaan ki aulad hai insaan banega...
Apne Khatir Jeena Hai |
Daman Mein Daag Laga |
Jhukati Ghataa Gaati Havaa |
Jo Tum Muskura Do |
Kaase Kahu Mann Ki Baat |
Tere Pyaar Kaa Aasaraa |
Tu Hindu Banega Na Musalaman |
Tu Mere Pyar Ka Phool Hai |