Aasmaan Waale Teri from Laila Majnu Movie (Ghulam Mohammed)

Aasmaanwaale teri duniyaa se jee ghabraa gayaa
Aasmaanwaale teri duniyaa se jee ghabraa gayaa
Chaar din kii chaandnii men gham kaa baadal chhaa gayaa
Aasmaanwaale teri duniyaa se jee ghabraa gayaa

Aasmaanwaale teri duniyaa se jee ghabraa gayaa
Aasmaanwaale teri duniyaa se jee ghabraa gayaa
Jal gayaa dil soz e gham se, jab koi yaad aa gayaa
Aasmaanwaale teri duniyaa se jee ghabraa gayaa

Aag mein phoolon ki duniyaa ne meraa tan rakh diyaa
Aag mein phoolon ki duniyaa ne meraa tan rakh diyaa
Ek murde ko sajaakar naam dulhan rakh diyaa
Bol maalik ye tamaashaa tujhse kyun dekhaa gayaa
Aasmaanwaale teri duniyaa se jee ghabraa gayaa

Kis qadar naashaad hoon barbaad hoon veeraan hoon
Kis qadar naashaad hoon barbaad hoon veeraan hoon
Raham kar mujh par khudaayaa
Raham kar mujh par khudaayaa, main bhi ek insaan hoon
Maut hii de de ke ab, shikavaa zubaan par aa gayaa
Aasamaanwaale teri duniyaa se jee ghabraa gayaa
Chaar din kii chaandnii men gham kaa baadal chhaa gayaa
Aasmaanwaale teri duniyaa se jee ghabraa gayaa...

Song Details
Movie
Laila Majnu
Artist
Ghulam Mohammed
Music Directory
Ghulam Mohammed
Music Label
Ultra
Singers
Lata Mangeshkar, Talat Mahmood
Lyricist
Shakeel Badayuni

Other Lyrics from Laila Majnu

Aankhon Mein Hai
Aasmaan Waale Teri
Bahaaron Ki Duniya
Bhar De Jholi Allah Naam
Chal Diyaa Kaarwaan
Dekh Lee Ae Ishq
Ya Ilaahi Ho Mubaarak
Yaad Teri Zindagi

Other popular Lyrics by Ghulam Mohammed

Chali Pee Ke Nagar (Mirza Ghalib)
Chal Diyaa Kaarwaan (Laila Majnu)
Aah Ko Chahiye Ek Umar (Mirza Ghalib)
Mohabbat Ki Dhun Bekarar (Dil-E-Nadaan)
Chhum Chhama Chhum (Rail Ka Dibba)
Aankhon Mein Hai (Laila Majnu)
Duniya Jawan Hai (Rail Ka Dibba)
Bhagwan Teri Duniya Me (Rail Ka Dibba)
Hai Bas Ke Har Ek Unke (Mirza Ghalib)
Leejo Babul Humara Salaam Re (Dil-E-Nadaan)