Baharo ne jise cheda hai
Wo saze jawani hai
Zamana sun raha hai jisko
Zamana sun raha hai jisko
Meri kahani hai
Baharo ne jise cheda
Kasam khake kisi ko jab
Kabhi apna banaunga
Chaman ki daliyo se
Laliya phulo ki launga
Sitaro ke chirago se
Phir is ghar ko sajaunga
Ke is ghar me ek
Nayi dunia basani hai
Chaman me sabne hi gaya
Tarana jindgani
Magar sabse alag tha
Rang meri hi jindgani ka
Fasana ik kadar rangin tha
Meri jawani ka
Ke jisne bhi suna
Kahne laga meri kahani hai
Baharo ne jise cheda
Koi samjhe na samjhe
Mai kahe deta hu dunia se
Ke mai dunia me hu
Matlab nahi rakhta hu dunia se
Kabhi kuch dil me aata hai
Mai kah deta hu dunia se
Meri aawaz hi meri kahani hai
Baharo ne jise cheda
Meri kahani hai
Baharo ne jise cheda...