Kar lijiye chal kar
Meri jannat ke nazare
Jannat ye banai hai
Mohabbat ke sitare
Phoolo se liya
Rang sitaro se ujala
Har chiz ko noor ke
Ek sache me hai dala
Is khwab ki basti ka
Falak hai na jami hai
Is husn ki dunia ki
Har ek chiz hasi hai
Roshan hai fiza aur
Nahi chand sitare
Jannat ye banai hai
Mohabbat ke sahare
Gati hai khushi nagme
To hasta hai waha gum
Kaliyo ki hasi dekh ke
Roti nahi sabnam
Fitrat ki raba par
Kahi masti ka fasana
Cheda hai khamoshi ne bhi
Kurkaif tarana
Kuch soye to kuch jage hue
Mast nazare
Jannat ye banai hai
Mohabbat ke sahare
Atahkheliya karti hui
Chalti hai hawaye
Nagmo ki hai barsat to
Julfo ki ghataye
Rangin hui aur bhi
Jannat ki kahani
Wo dekhiye wo dekhiye
Jhule pe ruhi ki jawani
Betab kiye dete masum ishare
Masum ishare...