Allah Karam Karna from Dada Movie (Usha Khanna)

Hum sabko nek raah chalaanaa mere allaah
Bandon ko buraai se bachaanaa mere allaah
Allaah karam karnaa
Maulaa tu reham karnaa
Allaah karam karnaa
Maulaa tu reham karnaa

Ik vaakayaa sunaati hoon main apni zubaani
Apne badon se maine sunee hai ye kahaani
Rehtaa thaa kisi shehar mein ek aisa bhi insaan
Jo naam ka muslim thhaa magar kaam ka shaitaan

Zaalim ko zor e baazoo pe apne guroor thaa
Yaani ke bekhudi mein khudaa se wo door thaa
Sab log usey kehtey thhe jallaad sitamgar
Maasoom ki fariyaad ka us pe na thhaa asar
Jo waadaa us ne kar liyaa wo kar ke dikhaayaa
Paison ke liye qatl kiye khoon bahaayaa
Ik din wo behtaa khoon asar us pe kar gayaa
Insaan zindaa ho gayaa shaitaan mar gayaa
Allaah karam karnaa
Maulaa tu reham karnaa
Allaah karam karnaa
Maulaa tu reham karnaa

Imaan jisey kehte hain farmaan e khudaa hai
Quraan ke har lafz mein us ki hi sadaa hai
Allaah ne bakshi hai jo imaan ki daulat
Ye sab se badi cheez hai insaan ki daulat
Soye huye dilon ko jagaataa hai ye imaan
Bhatke huyon ko raah dikhaataa hai ye imaan
Imaan ki garmi se pighal jaate hain patthar
Is noor se bantey hain sanwartey hain muqaddar
Jo sab se pyaar kartaa hai insaan wohi hai
Muslim hai wohi, saahib e imaan wohi hai
Allaah karam karnaa
Maulaa tu reham karnaa
Allaah karam karnaa
Maulaa tu reham karnaa

Jis kaam ke karne pe na ho raazi koi dil
Wo kaam bhi is duniyaa mein nafrat ke hai kaabil
Jo kuchh bhi zubaan keh de wo iqraar nahin hai
Laghzish hai labon ki wo gunehgaar nahin hai
Jo dil se nahin kartaa buraai ka iraadaa
Allaah se wo taubaa karey tod de waadaa
Jaldi jo sambhal jaaye wo nadaan nahin hai
Imaan jis mein ho wo beimaan nahin hai
Duniyaa mein hameshaa to nahin rehtaa andheraa
Insaan jahaan jaage wahin pe hai saveraa
Allaah karam karnaa
Maulaa tu reham karnaa
Allaah karam karnaa
Maulaa tu reham karnaa

Jo sacche dil se kartaa hai imaan ki aarzoo
Allaah ki nazaron mein wo hotaa hai surkh rooh
Imaan mein kyaa kyaa na sahaa pyaare nabee ne
Kyaa aisi museebat bhi utthaayee hai kisi ne
Karbal ke shaheedon ne sabak hum ko padhaayaa
Sajde mein de ke jaan ko imaan bachaayaa
Iss raah mein jo sehtey hain taqleef o museebat
Ik roz un pe hoti hai allaah ki rehmat
Insaan hai wo jo doosron ka dil na dukhaaye
Pad jaaye agar jaan pe to jaan lutaaye
Allaah karam karnaa
Maulaa tu reham karnaa
Allaah karam karnaa
Maulaa tu reham karnaa..

Song Details
Movie
Dada
Artist
Usha Khanna
Music Directory
Usha Khanna
Music Label
Saregama
Singers
Suman Kalyanpur
Lyricist
Gauhar Kanpuri

Other Lyrics from Dada

Allah Karam Karna
Dil Ke Tukde Tukde Karke
Gaddi Jandi E Chhalanga Maardi
Hum Ne Maana Hum Pe Saajan
Parde Mein Koi Baitha Hai
Teraa Meraa Pyar

Other popular Lyrics by Usha Khanna

Jabse Bani Hai Yeh Duniya (Aao Pyaar Karen)
Sare Mahafil (Ab Kya Hoga)
Andar Ki Baat Hai (Aadat Se Majboor)
Aaye Jo Kisi Ke Kaam (Alibaba Marjinaa)
Kismat Ki Baazi Ka (Aap To Aise Na The)
Nadan Balma (Ab Kya Hoga)
Mehbuba Dilwalo Ki (Anjan Hai Koyee)
Ram Tumhi Ne (Anokha Bandhan)
Tera Pyar Mila (Aadat Se Majboor)
Shaame Bahara Subhe Chaman (Aaja Sanam)