Baabul Ka Yeh Ghar from Daata Movie (Various Artists)

Babul ka yeh ghar behna
Kuch din ka thikana hai
Banake dulhan ek din
Tujhe piya ghar jaana hai

Baapu tere bagiya ki
Main tho ek kali hoon re
Ho baapu tere bagiya ki
Main tho ek kali hoon re
Chod teri bagiya muje
Ghar piya ka sajana hai
Kyun chod teri bagiya muje
Ghar piya ka sajana hai

Beti ghar babul ke
Kissi aur ki amanat hai
Beti ghar babul ke
Kissi aur ki amanat hai
Dastoor duniya ka
Hum sab ko nibhana hai

Maiya tere anchal ki
Main to ek gudiya re
Maiya tere anchal ki
Main to ek gudiya re
Tune mujhe janam diya
Tera ghar kyun begana hai
Maiya tune mujhe janam diya
Tera ghar kyun begana hai

Maiya pe kya beet rahi
Behna tu ye kya jaane
Maiya pe kya beet rahi
Behna tu ye kya jaane
Kaleje ke tukde ko
Roh roh ke bhulana hai

Bhaiya tere angana ki
Main kaise chidiya re
Ho bhaiya tere angana ki
Main kaise chidiya re
Raat bhar besara hai
Subha udd jaana hai
Raat bhar besara hai
Subha udd jaana hai

Yaade tere bachpan ki
Ham sab ko satayengi
Yaade tere bachpan ki
Ham sab ko satayengi
Phir bhi teri doli ko
Kaandha to lagana hai
Bahena teri doli ko
Kaandha to lagana hai..

Song Details
Movie
Daata
Artist
Various Artists
Music Directory
Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Music Label
T-Series
Singers
Alka Yagnik, Kishore Kumar
Lyricist
Anjaan

Other Lyrics from Daata

Baabul Ka Yeh Ghar
Daata Tere Kai Naam
Holi Khelein
Meri Jaan Pyar Karo
Rona Dhona Chhod
Teri Meri Yaari

Other popular Lyrics by Various Artists

Dhak Dhak (Nautanki Saala)
Tu Hai Rab Mera (Zila Ghaziabad )
Mashallah (Ek Tha Tiger)
Arzoo (Blood Money)
Bin Tere (Chakradhar)
Jungle Hai Aadhi Raat (Biwi No. 1)
Kya Raaz Hai (Raaz 3 )
Maula (Jism 2)
Om Namo Namah Krishan (Main Krishna Hoon)
Baby Se Babydoll (Gippi)