Usko Nahin Dekha Humne from Daadi Maa Movie (Roshanlal Nagrath (Roshan))

Usko nahin dekha humne kabhi
Par iski zarurat kya hogi ai maa,
Ai maa teri surat se alag
Bhagavan ki surat kya hogi, kya hogi
Usko nahin dekha humne kabhi

Insan to kya devata bhi
Aanchal me pale tere
Hai swarg isi duniya me
Kadamo ke tale tere
Mamata hi lutaye jiske nayan, ho
Mamata hi lutaye jiske nayan
Aisi koi murat kya hogi
Ai maa, ai maa teri surat se alag
Bhagavan ki surat kya hogi, kya hogi
Usko nahin dekha humne kabhi

Kyo dhup jalaye dukho ki
Kyo gham ki ghata barase
Ye hath duao wale
Rahte hai sada sar pe
Tu hai to andhere path me hume, ho
Tu hai to andhere path me hume
Suraj ki zarurat kya hogi
Ai maa, ai maa teri surat se alag
Bhagavan ki surat kya hogi, kya hogi
Usko nahin dekha humne kabhi

Kahate hai teri shan me jo
Koi unche bol nahin
Bhagavan ke pas bhi mata
Tere pyar ka mol nahin
Hum to yahi jane tujhse badi, ho
Hum to yahi jane tujhse badi
Sansar ki dolat kya hogi
Ai maa, ai maa teri surat se alag
Bhagavan ki surat kya hogi, kya hogi
Usko nahin dekha humne kabhi
Par iski zarurat kya hogi ai maa,
Ai maa teri surat se alag
Bhagavan ki surat kya hogi, kya hogi
Usko nahin dekha humne kabhi..

Song Details
Movie
Daadi Maa
Artist
Roshanlal Nagrath (Roshan)
Music Directory
Roshanlal Nagrath (Roshan)
Music Label
Saregama
Singers
Mahendra Kapoor, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Lyricist
Majrooh Sultanpuri

Other Lyrics from Daadi Maa

Aaja Ri Nindiya Tu Aa
Chale Aaye Re Hum
Ish Jag Me Kalyug Ayega
Jaata Hoon Main
Jane Na Doonga Song
Maine Aur Kya Kiya
Usko Nahin Dekha Humne

Other popular Lyrics by Roshanlal Nagrath (Roshan)

Koi Toh Sune Mere Gham Ka Fasana (Malhar)
Mann Re Tu Kahe (Chitralekha)
Hota Raha Yun Hi Agar (Malhar)
Ish Jag Me Kalyug Ayega (Daadi Maa)
Mere Dil Ki Dhadkan (Anhonee)
Ab Kya Misaal Doon (Aarti)
Bane Ho Ek Khak (Aarti)
Chha Gaye Badal (Chitralekha)
Dulhan Se Tumhara Milan (Anokhi Raat)
Mahlon Ka Raja Mila (Anokhi Raat)