Chor chor ka shor machaakar
Karen log badnaam
Kyun chor chor ka shor machaakar
Karen log badnaam
Kaun yahaan par chor nahin hai
Sabka hai yahi kaam
Wo karte hain
Arre chori chori
Arre wo karte hain chori chori
Karoon main khulle aam
Chori mera kaam
Yaaron chori mera kaam
Chori mera kaam
Yaaron chori mera kaam
Ek ne kar li man ki chori
Ek ne kar li dhan ki
Dekho
Ek ne kar li man ki chori
Ek ne kar li dhan ki
Dono ne karaamaat dikhaa di
Apne apne fan ki
Bin chori ke
Arre kaam chale na
Ye bin chori ke kaam chale na
Mujhe na do ilzaam
Chori mera kaam
Dekho chori mera kaam
Chori mera kaam
Dekho chori mera kaam
Ye duniya badi wo hai
Na samjho isse tum anaadi
Ye duniya badi wo hai
Na samjho isse tum anaadi
Milte hi dekho mauqaa
Khel khel ke rahegaa khilaadi
Wo karne waala
Arre kar jaata hai o karne waala
Kar jaata hai apna apna kaam
Chori mera kaam
Yaaron chori mera kaam
Arre chori mera kaam
Yaaron chori mera kaam
Andar rahkar maine socha
Chori bura hai kaam
Andar rahkar maine socha
Chori bura hai kaam
Ho baahar nikalkar maine dekha
Sab ka yahi hai kaam
Ye bhi aise arre wo bhi aise
Ho ye bhi aise wo bhi aise
Iske sabhi ghulaam
Chori mera kaam
Dekho chori mera kaam
Chori mera kaam
Dekho chori mera kaam..
Chori Mera Kaam |
Kaahe Ko Kaahe Ko |
Main Kachhe Angoor Ki Bel |
Meri Nazar Se Bacha Na Koi |
Meri Nazar Se Bacha Na Koi. |