Sambhalo Ae Watan Walo from Bharat Ke Shaheed Movie (Prem Dhawan)

Idhar sarhad pe bahta
Hai lahu apne jawano ko
Udhar dube hue hai hum
Sharabo or jamo me
Na samhalo ge to mit jaoge
Aye hindusta walo
Tumhari dasta tak bhi
Na hogi dastano me

Sambhalo aye watan walo
Watan apna sambhalo
Sambhalo aye watan walo
Watan apna sambhalo
Jis watan ke waste
Kaho ne apni jan di
Jan di jane nahi
Aan hindustan ki
Kahani un sahido ki
Kahani un sahido ki
Na bhulo hind walo
Janjiro me bandhi hui thi
Sadiyo se bharat mata

Inhe todne wala pahla
Bhaghi mangal pandey tha
Chin ke bpla kartus
Wo apne foji bhaiyo se
Gaw or suwar ki
Charbi todo na apne danto se
Karwai mangal ne bagawat
Karwai mangal ne bagawat
Nam dharam ka le le kar
Charo or jwala bhadki
Satawan ka hua gadar
Charo or jwala bhadki
Satawan ka hua gadar
Satawan ka hua gadar
Badha pakadne ne yu santo
Mangal ne nishana bana diya
Pal me videshi hakim
Mitti me usne mila diya
Gore sahi ke sine pe
Chali ye pahli goli thi
Karke sar uncha bharat ma
Mangal ki jai boli thi
Mangal pandey ki jai

Haidar ali ne jade
Hiladi angreji sarkar ki
Gunj rahi jhankara
Abhi tak tipu ki talwar ki
Peshwa ji ne kamal chapati se
Kranti sandesh diya
Fasi chad kar tatya
Tope ne jiwan balidan kiya
Nana farnavish ne aakhir
Dam tak har nahi mani
Ladte ladte amar hui
Mardani jhasi ki rani
Mardani jhasi ki rani
Kate hath se lade kurar singh
Har gayi gori sarkar
Aaj bhi gaurav se leta hai
Us yodhya ka nam bihar
Bahadur shah jafar ne di
Teeno beto ki kurbani
Maut aayi rangun me to
Bole aankho me bhar pani
Kitna hai badnasib jafar
Dafan ke liye do
Gaj jamin bhi na mili
Kuwe yar me

Ludhiyane ke guru ram singh
Jinka rahega nam amar
Atharah so chobish me wo
Janme the is dharti par
Angrejo se ladne chale
Maler kotla inke jawan
Goro ki topo ke muh
Me chali gayi kitno ki jan
Ram singh ko gali di
Ram singh ko gali di
Jab tek wahan kamishnar ne
Pakad liye tab kesh uchal kar
Ek nanhe se balak ne
Ek nanhe se balak ne
Choda na jo chudane
Pe to kat diya balak ke hath
Gir pada tadap kara nanha balak
Chut gaya prano ka sath
Idhar ram singh ho gaye bandhi
Or barma ki jel gaye
Desh ki azadi ke liye
Ye kahte jan pe khel gaye
Vande matram

Jab bhi bol vande matram
Yad karo tum bankim ko
Jis bangali desh bhakt ne
Amar gan diya hamko
Rastar geet jan gan man ke
Maha kavi ko karo parnam
Bhulega na desh kabhi
Ravindar nath taigor ka nam

Vasudev balwant fadke
Karte the nokri sarkari
Mili na chuti inko jab
Mar gayi inki mata pyari
Ye partigya usi samay
Ki ke kesh nahi katwaunga
Angreji sarkar ko jab
Tak desh se nahi hataunga
Leke jawano ki ek toli
Leke jawano ki ek toli
Tut pade angrejo pe
Fuk diye sarkari adalat
Hath na aaye goro ke
Hath na aaye goro ke
Ek din jab bimar pade the
Mejor daniyal aa pahucha
Dhokhe se is veer purush ko
Aakhir usne pakad liya
Hui saja kale pani ki
Par wo jail se hue farah
Dobara jab pakde gaye to
Hue sahid tyag sansar
Wo tha sham kishan ji warma
Kach ka sabse pyara lal
Jisne jalayi lodon me
Kranti ki pahli bar masal
Virendar nath ne lonon me
Kar di goro ki nind haram
Parithwi singh ne raj ulatne me
Paya tha uncha nam

Hardyala ne desh
Videsh me
Kranti jwala bhadkari
Pandit kashiram ne bhi
Karanti ke liye fasi payi
Barkat ulla ne kayam
Gadar party ki ki buniyad
Rakhta hai mehendar partap ko
Kabul barlin ab tak yad
Gadar party ke leader the
Gadar party ke leader the
Baba sohan singh bakhna
Sohan lal pathak chad
Fansi luta gaye jiwan apna
Luta gaye jiwan apna
Kartar singh saraba aaye
Chod videsh ko apne desh
Goro ki chawni me
Pahuche dene kranti ka sandesh
Goro ko thi sabhi khabar
Fir bhi na ruka ye diwana
Hatho me hathkadi lagi thi
Par kahta tha mastana
Dev desh di jindadi badi okhi
Gala kaarni ya tesh kaliya we
Jina is sewa wich pair paya
Jina is sewa wich pair paya
Unna lakh musibata chaliya

Fasi ka fanda chuma tha
Veer maratha pingle ne
Dakshin me sawdesh
Andolan suru
Kiya chidambaram pille ne
Jhasnsi ke parmandan ji
Lahor ke parmanand bhai
Jinhone amrika tak kranti
Ki aawaz thi pahuchai

Nam tha madam kama
Hi us hindustan ki beti ka
Lahraya jag me jisne
Pahla jhadna azadi ka
Ram rakha ne kiya tha
Ansann andeman ki jail me
Khel gaya wo jan ki
Baji azadi ke khel me
Dhanya hai ratnagiri
Jahabal tilak ne janam liya
Srwajay hamara
Janam sidh adhikar hai
Ye paigam diya
Adhikar hai ye paigam diya
Patar keshri se or maratha se
Janta ko jagane lage
Apne kalam ke jor se wo
Sashan ki niw hilane lage
Shiv jayanti ganpati utsaw
Maharastar me suru kiya
Dharam ke sang azadi ka bhi
Ghar ghar me sandesh diya

Dada bhai naroji ko
Rastar pitamah kahta desh
Banake national kangresh
Sawrajya ka diya
Parthan sandesh
Wo matwala vipin chandar
Bangal ka tha rahne wala
Bhadkayi thi jisne jan
Jan me azadi ki jwala
Rakhna yad kishan singh ko jo
Bhagat sinkh ke pita mahan
Desh azad karane me
Kam nahi hai
Inka bhi balidan
Kam nahi hai
Inka bhi balidan
Jitne veer ajit singh the
Swaran singh utne hi daler
Bhagat singh ke
Dono chacha kahlate
Punjab ke sher
Diya muradabad ki dharti
Ne sufi amba parsad
Kate hath se bhi jo yodhya
Lada tha angrejo ke sath
Yad karo aye logo ja
Fekar bandhuo ki kurbani
Jinhone atyachari rand ko
Mar mitane ki thani
Jashan mankar mallka
Jaha rand aa raha tha
Sare aam
Damodar or bal kishan chup kar
Ja pahuche usi makam

Damodar or balkishan
Chad baithe foran gadi pe
Teris ko mara balkishan
Ne mara rand damodar ne
Gore afsar pakad na paye
Gore afsar pakad na paye
Dono bhai hue farar
Mukhbar bana
Ganesh daravid
Ho gaya damodar firaftar
Mukhbar bana
Ganesh daravid
Ho gaya damodar firaftar
Ho gaya damodar firaftar
Tilak se geeta mangwa kar
Fasi par chad gaye damodar
Duje bhai bal kishan ka bhi ye
Ant hua aakhir
Tije bhai vasudev ne
Mukhbar ganesh ko ja mara
Maut ka badla maut se lekar
Ho gaya maut ko pyara
Kasam aise sahido ki
Kasam aise sahido ke
Tumhe aye desh walo
Tumhe aye desh walo
Sambhalo aye watan walo
Watan apna sambhalo
Sambhalo aye watan walo
Watan apna sambhalo..

Song Details
Movie
Bharat Ke Shaheed
Artist
Prem Dhawan
Music Directory
Prem Dhawan
Music Label
Saregama
Singers
Mahendra Kapoor
Lyricist
Madan Bharati, Prem Dhawan

Other Lyrics from Bharat Ke Shaheed

Aayega Dulha Mera
Kishan Singh Gadgaz
Mere Daman Ki Thandi
Mohandas Karamchand Gandhi
Sambhalo Ae Watan Walo

Other popular Lyrics by Prem Dhawan

Mohandas Karamchand Gandhi (Bharat Ke Shaheed)
Sambhalo Ae Watan Walo (Bharat Ke Shaheed)
Mere Daman Ki Thandi (Bharat Ke Shaheed)
Kishan Singh Gadgaz (Bharat Ke Shaheed)
Aayega Dulha Mera (Bharat Ke Shaheed)