Khamakha from Matru Ki Bijlee Ka Mandola Movie (Vishal Bhardwaj)

Halki halki aahein bharna
Takiye mein
Sar de ke dheeme dheeme

Sargoshi mein baatein karna
Pagalpan hai aise tumpe marna
Ubla ubla kyun lagta hai?
Ye badan ye jalan
Toh khamakha nahi
Khamakha nahi

Ye khalish jo hai
Wo khamakha nahi
Haan tapish tto hai
Par khamakha nahi (Repeat once)

Jo nahi kiya
Kar ke dekhna
Saans rok ke
Mar ke dekhna
Ye bewajah, besabab, khamkha nahi
Ye khamakha nahi
Ye khamakha nahi
Ye khamakha nahi

Saari saari raat ka jagna
Khidki pe sar rakh ke rote rehna
Ummeedon ka jalna bujhna
Paagalpan hai aise tumpe marna
Khali khali do aankhon mein
Ye namak, ye chamak
To khamakha nahi
Khamakha nahi

Fikr rehti hai jo, khamakha nahi
zikr rehta hai jo, khamakha nahi

Ishq aankhon mein, bhar ke dekhna
Aaina kabhi darr ke dekhna
Ye bewajah, besabab, khamakha nahi
Deewangi sahi, ye khaamakha nahi
Haa junoon tho hai, par khamakha nahi

Sada bhawani tahi jai ho pyara
Gauri putra Ganesh
Paanch dev raksha kare ho pyara
Brahma Vishnu Mahesh

Kasam yo des mera se
Harya bharya haryana
Seedhe saade log ade ke
Doodh dahi ka khana
Bolo Ram Ram Ram
Ram Ram Ram Ram

Bolo Ram Ram Ram
Bhai Ram Ram Ram

Song Details
Movie
Matru Ki Bijlee Ka Mandola
Artist
Vishal Bhardwaj
Music Directory
Vishal Bharadwaj
Music Label
Sony Music
Singers
Vishal Bhardwaj, Prem Dehati
Lyricist
Gulzar

Other Lyrics from Matru Ki Bijlee Ka Mandola

Badal Uthiya
Chaar Dina Ki
Chor Police
Khamakha
Lootnewale
Matru Ki Bijlee Ka Mandola
Oye Boy Charlie
Shara-Rara-Ra

Other popular Lyrics by Vishal Bhardwaj

Khamakha (Matru Ki Bijlee Ka Mandola)
Totey Ud Gaye (Ek Thi Daayan)
Carbon Copy (Drishyam)
Chor Police (Matru Ki Bijlee Ka Mandola)
Chupdi Chachi (Chachi 420)
Dum Ghutta Hai (Drishyam)
Lautungi Main (Ek Thi Daayan)
Badal Uthiya (Matru Ki Bijlee Ka Mandola)
Alvida (Bhagmati)
Kajrare Naina Wali (Chupke Se)