Jalti Huyi Jawaniyan from Bambai Raat Ki Bahon Mein Movie (J.P. Kaushik)

Jalti huyi jawaniyan
Yeh ankahi kahaniyan
Allah re qayamat
Allah re qayamat
Jalti huyi jawaniyan
Yeh ankahi kahaniyan
Allah re qayamat
Allah re qayamat
Jalti huyi jawaniyan

Aanchal uda hawa mein
Halchal huyi ghata mein
Khushbu si bas gayi hai
Behki huyi faza mein
Behki huyi faza mein
Nigahe jahan jaam gayi
Hawaye wahi tham gayi
Bas mein hai jaise kudrat
Allah re qayamat
Jalti huyi jawaniyan

Phulo bhara wo daman
Jaise khila ho gulshan
Jalwo ki chandni hai
Jalwo ki chandni hai
Naazo ada ka sawan
Naazo ada ka sawan
Runak chham chham
Chham chham
Yeh behke se kadam
Dil kyu bache salamat
Allah re qayamat
Jalti huyi jawaniyan

Jab tan lachak gaya hai
Ho shola bhadak gaya hai
Jaise koi sharabi
Jaise koi sharabi
Pee kar bahak gaya hai
Pee kar bahak gaya hai
Dhanak bal kha gayi
Faza lehra gayi
Yeh loch yeh nazakat
Allah re qayamat
Jalti huyi jawaniyan

Yeh husn chhalka chhalka
Yeh raks halka halka
Lehro pe dolta sa
Ek phul hai kamal ka
Ek phul hai kamal ka
Nadi pe thirke kiran
Bahe jaise pawan
Har ek ada hai aafat
Alla re qayamat
Jalti huyi jawaniyan
Yeh ankahi kahaniyan
Allah re qayamat
Allah re qayamat
Jalti huyi jawaniyan..

Song Details
Movie
Bambai Raat Ki Bahon Mein
Artist
J.P. Kaushik
Music Directory
J.P. Kaushik
Music Label
Saregama
Singers
Mahendra Kapoor
Lyricist
Hasan Kamal

Other Lyrics from Bambai Raat Ki Bahon Mein

Bambai Raat Ki Baho Mein
Jalti Huyi Jawaniyan

Other popular Lyrics by J.P. Kaushik

Jalti Huyi Jawaniyan (Bambai Raat Ki Bahon Mein)
Bambai Raat Ki Baho Mein (Bambai Raat Ki Bahon Mein)
Ae Raat Zara Aahista Guzar (Asmaan Mahal)
Khubsurat Hai Teri Tarah (Asmaan Mahal)
Main Aahe Bhar Nahi Sakta (Asmaan Mahal)
Tune Samjha Hi Nahi Kya Hai (Asmaan Mahal)